Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar Lyrics - Owais Raza Qadri
  2. Mere Aaqa Ki Shaan Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  3. Marhaba Ya Mustafa Lyrics - Ahmad Hussain
  4. Mukh Mor Lenday Penan Tay Para Lyrics - Qari Shahid Mahmood
  5. Ya Nabi Lyrics - Sami Yusuf
  6. Chamka Mah e Noor Ka Hilal Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Doori Lyrics - Hamza Namira
  8. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho [Part 1-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  9. Panaah Lyrics - Fez Meghani
  10. Tanam Farsooda Jaan Para Lyrics - Zulfiqar Ali
  11. Ehlam Ma’aya Lyrics - Hamza Namira
  12. Yeh Jo Halka Halka Suroor Lyrics - Nusrat Fateh Ali Khan
  13. Generous Peace Lyrics - Kareem Salama
  14. Taiba Taiba Lyrics - Hooria Rafiq
  15. Sarkar e Dono Aalam Nazar e Karam Ho Jaana Lyrics - Naat Lyrics
  16. Thank You Allah Lyrics - Maher Zain
  17. Go Lyrics - Sami Yusuf
  18. Madinay Mein Yeh Hotey Hain Lyrics - Farhan Ali Qadri
  19. One Big Family Lyrics - Maher Zain
  20. Allahu Allah Lyrics - Labbayk
  21. Paradise Lyrics - Maher Zain
  22. Qasidah Burdah Lyrics - Labbayk
  23. Rabana Ya Rabana Lyrics - Owais Raza Qadri
  24. Ya Mustafa Lyrics - Adam Ali
  25. Bookshelf Lyrics - Gaith Adhami

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x