Mera Iman Ali Hai Ali Lyrics - Dhamani Sisters

By: 

Mera Iman Ali Hai Ali Lyrics

Kuley iman Ali (x2)

Kuley iman Hussain (x2)
Kuley iman Ali (x2)
Kuley iman Hussain (x2)
Deen ki shaan Ali (x2)
Deen ki shaan Hussain

Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x3)
Shah wAliyon ka Ali (x2) Nabiyon ka sultan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Hain bila fasl yeh donon he nabi ki zeenat (x2)
Aik sardar e jinan air qaseem e jannat


Adl e allah Ali (x2) adl ki mezan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Chashm e khAliq mein hain ek doojay kay humsar donon
Aik nisbat say hai kul nabion say bartar donon
Nafs e ahmed hai Ali (x2) zehra ki hai jaan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Sarey alam kay liye saray jahanon kay liye (x2)
Sab zameenon kay liye saray zamanon kay liye
Rab ki rehmat hai Ali (x2) rab ka hai ahsan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Yeh tow khud nabion ka sultan gawahi daygha (x2)
Haan isi baat pay quran gawahi dayga
Nuqta e baa hai Ali (x2) bolta quran Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik hai khana e kaba ka bananay wala (x2)
Aik hai kalma e tauheed bachanay wala
Zamin e kaba Ali (x2) aur nigehban husaain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik ney nabion say her lamha e mushkil taala (x2)
Aik ney fitrus o rahib ka muqaddar badla
Hai Ali amr e khuda (x2) rehmat e rehman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik khAliq ki razaon ka khareedar bana (x2)
Aik woh jiska khuda aap talabgar bana
Yani haider ki tarha (x2) rab kay hai arman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik be zar ko abuzar hai bananay wala (x2)
Aik hai hur ko jahanum say churanay wala
Meherban jaisa Ali (x2) waisa meherban Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aaj bhi deen e payaamber yeh sada daita hai (x2)
Ab bhi islam ka pekar yeh sada daita hai
Mera rutba hai Ali (x2) hai mera ailan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Na to dola hai na dolay ga aqeeda mera (x2)
Raat din noor Ali hai yeh wazeefa mera
Mera mazhab hai Ali (x2) hai mera eman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x3)

Lyrics Information
Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009


More Islamic Lyrics

  1. Khayal Lyrics - Irfan Makki
  2. Paradise Lyrics - Harris J.
  3. Supplication Lyrics - Sami Yusuf
  4. Kya Mohammad Ka Pyara Nahin Lyrics - Nadeem Sarwar
  5. Mere Ghous Piya Jilani Lyrics - Naat Lyrics
  6. Close Your Eyes Lyrics - Zain Bhikha
  7. Ya Rabbi bil Mustafa Lyrics - Labbayk
  8. Marhaba Bolo Marhaba Lyrics - Farhan Ali Qadri
  9. Bazaar E Shaam Lyrics - Irfan Hussain
  10. Ban Ke Saa’el Lyrics - Farhan Ali Qadri
  11. The One Lyrics - Harris J.
  12. Hasbun’ Allah Lyrics - Zain Bhikha
  13. Iman Ramzan Lyrics - Aamir Liaquat
  14. Dua e Ali (AS) Lyrics - Mesum Abbas
  15. Thandi Thandi Hawa Lyrics - Hooria Rafiq
  16. Mercy to Mankind Lyrics - Native Deen
  17. Lagiyan Ne Mojan Lyrics - Owais Raza Qadri
  18. Alwida Alwida Mahe Ramzan Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  19. Asma Allah Lyrics - Sami Yusuf
  20. Ay Kufey Waalo Mein Zainab (A.S) Hoon Lyrics - Irfan Hussain
  21. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  22. Aie Mahe Ramzan Alwada Lyrics - Qari Mohammed Rizwan
  23. You And I Lyrics - Irfan Makki
  24. Muhammad (Peace be upon him) Lyrics - Sami Yusuf
  25. Main Taliyan Nabi Diyan Choomda Lyrics - Milad Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of

2 Comments
Newest
Oldest Most Voted
2
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x