Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Durood Shareef Lyrics - Milad Raza Qadri
  2. Open Your Eyes Lyrics - Labbayk
  3. A’marona A’malona Lyrics - Maher Zain
  4. Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan Lyrics - Hashim Sisters
  5. Allahu Lyrics - Labbayk
  6. Oh Allah Lyrics - Fez Meghani
  7. Mercy to Mankind Lyrics - Native Deen
  8. Where’s the Love? Lyrics - Khaleel Muhammad
  9. Uthi Nazar To Unke Karam Pe Thaher Gayi Lyrics - Naat Lyrics
  10. Kaliyan Zulfan Wala Lyrics - Owais Raza Qadri
  11. Aye Mere Asghar E Bezubaan Lyrics - Irfan Hussain
  12. Numb Lyrics - Gaith Adhami
  13. The Power Lyrics - Maher Zain
  14. Rasool’Allah Lyrics - Harris J.
  15. Ya Taiba Lyrics - Ahmad Hussain
  16. Ey Hasnain Ke Nana Lyrics - Milad Raza Qadri
  17. Make Me Strong Lyrics - Sami Yusuf
  18. Mere Aaqa Nigaah-e-Karam Ho Lyrics - Owais Raza Qadri
  19. As Subhu Bada Min Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  20. Peace Remain Lyrics - Kareem Salama
  21. Mere Ghous Piya Jilani Lyrics - Naat Lyrics
  22. My Only Wish (interlude) Lyrics - Sami Yusuf
  23. Ya Mustafa Ata Ho Lyrics - Owais Raza Qadri
  24. Sabke Hain Muhammad Lyrics - Imran Shaikh Attari
  25. Forgive Me Lyrics - Maher Zain

COMMENTS

Subscribe
Notify of

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x