Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Fragile World Lyrics - Sami Yusuf
  2. Kamil Hai Jo Azal Se Lyrics - Zulfiqar Ali
  3. Change My Dead Heart Lyrics - Hafiz Mizan
  4. Al Qudsu Tunadeena Lyrics - Ahmed Bukhatir
  5. Guide Me All the Way Lyrics - Maher Zain
  6. Likh Raha Hoon Naat E Sarwar Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Oh Lord Lyrics - Abdullah Rolle
  8. Subhana Allah (Turkish Version) Lyrics - Maher Zain
  9. Numb Lyrics - Gaith Adhami
  10. Shab E Tareh Lyrics - Shahid Baltistani
  11. Lab Pe Aati Hai Dua Lyrics - Ahmad Hussain
  12. Ammu Jannam Lyrics - Fatemah Ladak
  13. Salutation Lyrics - Sami Yusuf
  14. Sagri Rain Tarapty Guzri Lyrics - Milad Raza Qadri
  15. Let It Go Lyrics - Maher Zain
  16. Lab Pe Naat e Nabi Ka Lyrics - Aamir Liaquat
  17. He is One Lyrics - Tom Robertson
  18. I’m Your Hope Lyrics - Sami Yusuf
  19. Zameen Meli Nahi Hoti Lyrics - Farhan Ali Qadri
  20. Thank You Allah Lyrics - Maher Zain
  21. Close Your Eyes Lyrics - Zain Bhikha
  22. Allahu Allah Lyrics - Labbayk
  23. Ya Mustafa Lyrics - Sami Yusuf
  24. Trials Of Life Lyrics - Sami Yusuf
  25. Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho Lyrics - Owais Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x