Main Naukar Houn Shah-e-Madina Ka sunlo Lyrics

Main naukar hoo Shah e Madina ka sunlo,
Mujhay shahen-shahi ki chahat nahin hai,
Jo dolat milli hai, mujhay aakay dekho,
Ki ko muyasar yeh dolat nahin hai.

Main Naukar Houn Shah-e-Madina Ka sunlo..

Gheroon kay dar say mein kyon ja kay mangoon,
wahan ja kay kyun mein yeh daman bechayoon,
Mera Mustafa nay bhara aisa daman,
Kay ab mangnay ki zarurat nahin hai.

Mein naukar houn Shah e Madina Ka sunlo..

Woh dubay huey shams (sun) ko more dena,
Woh ungli utha ker qamar (moon) tor dena,
Baray huqmaran hum nay dekhay hein lekin,
Kisi nay bhi ki youn hakumat nahin hai.

Main naukar hoo Shah-e-Madina ka sunlo…

Aur hashar mein jo dekha, rukhey Mustafa ko,
Qasam hai mujhay meray Maula ki yaaro,
Yousaf kay lab par yehi baat aayi,
Kay haseen koi surat nahin hai.

Haq kay liye sara kumba lutana,
Woh neizay pay charh kay Quran sunana,
Tilawaat hazaroon nay ki hai magar haan,
Kisi nay bhi ki youn talawat nahin hai.

Main nookar ho Shahe Madina ka sunlo…

The Naat Information:

Recited By: Hafiz Ahsan Amin
Video By: Noor Tv

  • aleeza

    marshallah. inshaalah i will come up and read as beautifull as you

  • sidz

    Anisa you just need to practice readin naats and inshaALlah youll get there.. im ok at reading :) people say im good but ive been practising for years lol x

  • http://www.islamiclyrics.net/215/ anisa

    i wish i could be as much talented as all off the lyricst’s just because they write ever so nice naat’s and awesome nasheed’s.

© 2012 IslamicLyrics.net. All rights reserved.
Created & Managed by Sayyid al-Mahdi. Proudly hosted by iMuslimz Network.