Aye Shaam Terey Bazaaron Se Lyrics - Irfan Hussain

By: 

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki Lyrics

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki
Khamosh zubaan hai khanjar ki gardan hai jhuki shasheeron ki
Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

1. Ye naqsh-e- kafe paae aabid aayat hai bolte quraan ki
Hai aabilae paa qatrae qun hai aaene huq aur eimaan ke
Chamkegi jabeen suraj bankar x2
tha hashr unhi tehreeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

2. Shabbir pe rouze aashura dhae gae laakhon zulmon sitaam
Zakhmi tha badan chalni tha jigar maidaan mein tanha shahe umam
Barsae gaye the patthar bhi x2
baarish bhi huvi thi teeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

3. Naize se tilavath shah ne ki ek hashr bapaa baazar mein tha
Darbaar mein qutbae zainab se larza sa dar-o-deevar mein tha
Mimbar pe gaye sajjad-e-hazeen x2
Ek goonj uthi taqreeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

4. Wo shaam-e-gareeban ka manzar tha ek qayamat ka aalam
The sehme huve nanhe bache hairaan-o-pareshan ehl-e-haram
Qaimon ko jalaen the aadan x2
Haalat thi ajab dilgeeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

5. Cheeni hai laeenon ne chadar durre bhi lagae hai zaalim
The ek rasan mein barah gale kaaro pa chalaen hai zaalim
Ye izzat ye tauqeer huvi x2
Tatheer ke daamangeeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

6. Asghar ke gale par teer lagaa akbar ke kaleje mein naiza
Ek kundh churi se zaalim ne shabbir ka kaata khushk galaa
Yun kaati gae hai shiryaane x2
Quraan teri tafseeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

7. Ye aah-o-fughaan ye ashko lahu ye tazia aur ye majlise ghaam
Ye seena zani ye mask-o-alam ye nouha-e-irfan aur matam
Halki si jhalak hai ek akhtar x2
Un dard bhari tasveeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki x2

Noha Information:
Nauha Artist: Irfan Hussain
Nawha Album: Irfan Hussain – 2008


More Islamic Lyrics

  1. Abbas (AS) Meer E Lashkaram Lyrics - Mesum Abbas
  2. Sarkar e Dono Aalam Nazar e Karam Ho Jaana Lyrics - Naat Lyrics
  3. A Time to Please Allah Lyrics - Labbayk
  4. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi Lyrics - Naat Lyrics
  5. Who is the Loved One? Lyrics - Sami Yusuf
  6. Lay Down Your Head Lyrics - Zain Bhikha
  7. When I Grow Up Lyrics - Zain Bhikha
  8. Ibn El-Watan Lyrics - Hamza Namira
  9. Beautiful Brave Souls Lyrics - Gaith Adhami
  10. Allah Ya Moulana Lyrics - Maher Zain
  11. Kiya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  12. Meri Zanjeer Na Kehncho Lyrics - Shahid Baltistani
  13. Jashne Aamede Rasool Lyrics - Shaam
  14. Theraawo Sawaari Lyrics - Mesum Abbas
  15. Your Mercy Lyrics - Raef
  16. Ya Rab Meri Soi Lyrics - Farhan Ali Qadri
  17. Always Be There Lyrics - Maher Zain
  18. Heart of Homs Lyrics - Gaith Adhami
  19. Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Ghum Baishumar Lyrics - Owais Raza Qadri
  20. Aaya Na Hoga Iss Tarha Lyrics - Zulfiqar Ali
  21. Ma?aallah (Turkish-Türkçe) Lyrics - Maher Zain
  22. Aaya Hai Ramzan Jaag Utha Imaan Lyrics - Various Artists
  23. The Woman I Love Lyrics - Zain Bhikha
  24. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Lyrics - Zulfiqar Ali
  25. Although I Never Saw His Face Lyrics - Zain Bhikha

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

2 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
2
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x