Aye Shaam Terey Bazaaron Se Lyrics - Irfan Hussain

By: 

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki Lyrics

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki
Khamosh zubaan hai khanjar ki gardan hai jhuki shasheeron ki
Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

1. Ye naqsh-e- kafe paae aabid aayat hai bolte quraan ki
Hai aabilae paa qatrae qun hai aaene huq aur eimaan ke
Chamkegi jabeen suraj bankar x2
tha hashr unhi tehreeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

2. Shabbir pe rouze aashura dhae gae laakhon zulmon sitaam
Zakhmi tha badan chalni tha jigar maidaan mein tanha shahe umam
Barsae gaye the patthar bhi x2
baarish bhi huvi thi teeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

3. Naize se tilavath shah ne ki ek hashr bapaa baazar mein tha
Darbaar mein qutbae zainab se larza sa dar-o-deevar mein tha
Mimbar pe gaye sajjad-e-hazeen x2
Ek goonj uthi taqreeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

4. Wo shaam-e-gareeban ka manzar tha ek qayamat ka aalam
The sehme huve nanhe bache hairaan-o-pareshan ehl-e-haram
Qaimon ko jalaen the aadan x2
Haalat thi ajab dilgeeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

5. Cheeni hai laeenon ne chadar durre bhi lagae hai zaalim
The ek rasan mein barah gale kaaro pa chalaen hai zaalim
Ye izzat ye tauqeer huvi x2
Tatheer ke daamangeeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

6. Asghar ke gale par teer lagaa akbar ke kaleje mein naiza
Ek kundh churi se zaalim ne shabbir ka kaata khushk galaa
Yun kaati gae hai shiryaane x2
Quraan teri tafseeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

7. Ye aah-o-fughaan ye ashko lahu ye tazia aur ye majlise ghaam
Ye seena zani ye mask-o-alam ye nouha-e-irfan aur matam
Halki si jhalak hai ek akhtar x2
Un dard bhari tasveeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki x2

Noha Information:
Nauha Artist: Irfan Hussain
Nawha Album: Irfan Hussain – 2008


More Islamic Lyrics

  1. Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri
  2. Zameen Maili Nahi Hoti Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  3. Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics - Naat Lyrics
  4. I’m Alive Lyrics - Maher Zain
  5. Gunaahon Ki Aadat Chura Mere Mola Lyrics - Owais Raza Qadri
  6. Aaya Na Hoga Iss Tarha Lyrics - Zulfiqar Ali
  7. Meri Zanjeer Na Kehncho Lyrics - Shahid Baltistani
  8. He Is There Lyrics - Sami Yusuf
  9. Nur ‘Ala Nur Lyrics - Aashiq al-Rasul
  10. Healed Lyrics - Gaith Adhami
  11. Ya Nabi Lyrics - Sami Yusuf
  12. Allahu Lyrics - Labbayk
  13. Dryer Land Lyrics - Sami Yusuf
  14. Never Forget Lyrics - Sami Yusuf
  15. Ya Habibi, Ya Hussain (AS) Lyrics - Mesum Abbas
  16. Free Lyrics - Zain Bhikha
  17. You Came To Me (Arabic) Lyrics - Sami Yusuf
  18. Lamyaati Nazeero Kafi Nazarin Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  19. Insya Allah (Malay) Lyrics - Maher Zain
  20. Al-Hamdu Li’Llah Lyrics - Sami Yusuf
  21. You Are The One Lyrics - Raef
  22. Open Your Eyes Lyrics - Labbayk
  23. Jashne Aamede Rasool Lyrics - Shaam
  24. Rabbee Yebarik Lyrics - Maher Zain
  25. Day of Eid Lyrics - Labbayk

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

2 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
2
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x