Ramzan Ke Roze Aye Lyrics - Muzammil Hassan Qadri

By: 

Ramzan Ke Roze Aye Lyrics

Yaar idhar aao, woh dekho Ramzan ka Chand nazar aa gaya!!

Ramzan Ke Roze Aye, dil jhoom jhoom jaye!

Aie mere Allah mujh pay karam yeh farmana,
Roaza rakhoon ga sehri mein mujh ko jaganah,
Ramzan Ke Roze Aye, dil jhoom jhoom jaye!

Hum roza rakhna chahein, Mama humein samjhaye
Roza rakhna aglay saal, Roza rakhna aglay saal,

Conversation # 1:
Kid#1 – Uffoo tumhein kiya huwa Muzzamil, tum kyun udaas baithay ho,
Kiya bataoon yaar, meri Mama toh mujhay kabhi bhi roza nahin rakhnay deti.
Kid# 2 – Kyun bhai kyun, woh kiya kehti hain?
Kid# 1 – Meri Mama kehti hain.
Din hai bara aur tum ho chotay, maan bhi jao na meray baitay,
Bhook lagay gi, pyaar lagay gi, sara din kuch kha nahin saktay.

Conversation # 2:
Kid#1 – Lekin tum batao Hamza, kiya tumhari Mama tumein roza rakhnay dein gi?
Kid#2 – Nahin yaar, meri Mama toh baray pyaar say samjhati hain.
Kid#1 – Acha woh kiya kehti hain?
Kid#2 – Meri Mama toh yeh keh deti hain.
Abhi to chotay bachay ho, mana mann ke sachay ho,
Mama ki aankh ke taray ho,Baba ke dularay ho,
Roza aglay saal rakhna, maan lo baat hamari,
Dhoom dham say lal hamaray, roza kushai ho gi tumhari.

Conversation # 3:
Kid#1 – Yaar Khizr tum to roza rakhtay hogay, tumharay ghar walay toh nahin mana kertay houn gay.
Kid#2 – Nahin yaar meray ghar walay toh har saal yehi kehtay hain.
Kid#1 – Kiya kehtay hain Khizr? Humein bhi batao.
Kid#2 – Ammi jaan to yehi kehti hain.
Meri maan nay bola beta theek hai beta roza rakh lena,
Bachoon ka roza aadha hai, din mein khana kha lena,
Kid#3 – Phir toh tumein bohat gusa aaya hoga, to tum nay kya kiya?
Kid#2 – Mamma Papa pyaar karein aur dadoo bolein kha lo kuch,
Maan ke ghar waloon ka kehna, kha leta hoon aik khana.

Jo roza nahin rakhtay, woh achay nahin hotay,
Unhein Rabb na bakhshay ga, jo Rabb say nahin dartay.

Aao jo log roza rakhtay hain, hum sab mil ker unke haqq mein dua kertay hain.

Jo roza rakhtay hain, unhein sehat de Mola,
Jo roza rakhtay hain, unhein himat de Mola,
Jo roza rakhtay hain, unhein taqat de Mola,
Hassan Imam Qadri ko bakhsh de Mola.

Achi tarah say jaan gaye, Maa Baap ka kehna maan gaye,
Roza rakhein gay aglay saal, Roza rakhein gay aglay saal.


More Islamic Lyrics

  1. Zara Chehre Se Lyrics - Ahmad Hussain
  2. Give The Young A Chance Lyrics - Sami Yusuf
  3. Subhanallah Lyrics - Labbayk
  4. Insha Allah (Arabic) Lyrics - Maher Zain
  5. Kamle Wale Muhammed Lyrics - Milad Raza Qadri
  6. Supplication Lyrics - Sami Yusuf
  7. Ramadhan Lyrics - Labbayk
  8. Pohnchoon Dar e Sarkar Pe Chaha To Yehi Hai Lyrics - Owais Raza Qadri
  9. Muslim School Anthem Lyrics - Zain Bhikha
  10. Sizomkhonz’ uAllah Lyrics - Zain Bhikha
  11. Bagh Jannat Kay Hain Lyrics - Milad Raza Qadri
  12. Sepanjang Hidup Lyrics - Maher Zain
  13. Fragile World Lyrics - Sami Yusuf
  14. Every Day Lyrics - Tom Robertson
  15. Rukh Sey Kakul Hata Diya Tu Nay Lyrics - Milad Raza Qadri
  16. Every Beat Lyrics (Arabic & French) Lyrics - Aashiq al-Rasul
  17. The Power Lyrics - Maher Zain
  18. No One Knows But Me Lyrics - Raef
  19. Naseeba Khol Dae Mera Lyrics - Farhan Ali Qadri
  20. A New Day Lyrics - Labbayk
  21. Allah Tera Shukar Hai Lyrics - Abdul Hameed Rana Soharwardi
  22. Ya Rasoolallah Pukaro Ya Rasoolallah Lyrics - Milad Raza Qadri
  23. Duas from Quran Lyrics - Islamic Duas
  24. Teri Shaan Jalla Jalaluhu Lyrics - Urdu Hamds
  25. Naat by Hazrat Uthman ibn Affan “Ghani” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x