Islamic Lyrics

NAATS | ANASHEEDS | NOHAS

bookmark bookmark
VN:F [1.9.2_1090]
Rating: 4.8/5 (8 votes cast)

Aaqa Ka Milad Aaya Part 2 Lyrics

Jou Aaj Mehfil Mein Aaye,
Mun Ki Muradein Woh Paye
Sab Par Karam Ho Khudaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah.

Ghous Ul Wara Aur Data Nay,
Mere Raza Aur Khuwaja Ne,
Sab Nay He Din Yeh Manaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.

Na’at-e-Nabi Tum Sunao,
Ishq-e-Nabi Ko Barhao,
Hum Ko Raza Ne Sikhaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.

Jis Ko Shajar Jantay Hain,
Kehna Hajar Mantay Hain,
Aisa Nabi Hum Ne Paya,
Aaqa Ka Milad Aaya.

Dil Jagmaganay Lagay Hain,
Sab Muskuranay Lagay Hain,
Ik Kaif Sa Aaj Chahya,
Aaqa Ka Milad Aaya.

Kar Ae Ubaid Unki Midhat,
Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat,
Tu Ne Muqqadar Yeh Paaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.

Charoon Taraf Noor Chaya,
Aaqa Ka Milad Aaya,
Khushiyon Ka Pegham Laya,
Aqa Kaa Milad Aya.
Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah.

Note:

To listen lyrics from first part 1 of this naat, please click on the Part-1 Link below:
Part-1 Link: Aaqa Ka Milad Aaya [Part 1-2]

Sana Khuwaan: Owais Raza Qadri
Kalaam By: Obaid-E-Raza

Aaqa Ka Milad Aaya [Part 2-2], 4.8 out of 5 based on 8 ratings

One Response

  1. pwinces says:
    VA:F [1.9.2_1090]
    Rating: 0 (from 0 votes)

    luv dis naat 2 bts flls up my hart! marshallah its rely gud luv it

Leave a Reply

  • sasoki: thank you maher for this beautiful album
  • sarim: Alhamdulillah Mashaallah
  • waqar: this is the best naat
  • misbah: i love his song so much , the contain...
  • Rukia: I just found my new and final love and i...
  • haleemah: he puts music in the background cause...
  • malko_ars: nice voice. grow up
  • hina khan: ye sach men bohat achi naat...
  • naeem mujtaba: masha allaha
  • unknown: salam alaikum, may Allah bless you and...
  • nur_rizuan: salam to all.. Maher is a very...
  • Sadia: Mashallah…its a very good...
  • SONIA: MASHA ALLAH….. I LOVED THIS HAMD...