Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye Lyrics

Baat jo kijiye or jab kijiye,
Saath mein Zikr-e-Mehboob kijiye.

Chahtay ho milay zoq ansu bahain,
lab baaton say band apnay lub kijiye.

Loh woh minar-o-gumbad nazar aa gaye,
Ab Salam arz sub ba-adab kijiye.

Subz gunbad kay saaye talay hain kharay,
Khoob taqdeer par rashk aab kijiye.

Woh nawaazein gay khali na lotaayein gay,
Unsay hajaat arz apni sub kijiye.
Saath mein zikr-e-Mehboob kijiye.

Dar pe aakar, bhikari phirein namurad,
Yeh gawara bhala aap kab kijiye.

Ru baroo jaalion kay kharay hain Hazoor,
Ab ataa bheek Shah-e-Arab kijiye.

Aap kay dar kay hotay kidhar jaayein hum,
Ab ataa bheek Shah-e-Arab kijiye

Dijiye hum ko khairat deedar ki,
Aab karam Ya Nabi behr-e-Rab kijiye.

Mar raha hoon gunahoon kay amraaz say,
Ek nazar Janib-e-Jaan balab kijiye.

Qalb-e-tareek par rakh kay apna qadam,
Chaandna mere Mah-e-Arab kijiye.

Sun kay faryad imdaad ko aa gaye,
Yaad Ubaid-e-Raza unko jab kijiye.

Unkay nisar, koi kaisay bhi ranj mein ho,
Jab Yaad aagaye hain, sub gham bhula diye hain,
Yaad Ubaid-e-Raza un ko jab kijiye.

Walah woh sun lein gay, faryad ko pohnchein gay,
Itna bhi to ho koi, jo aah karay dil say,
Yaad Ubaid-e-Raza unko jab kijiye.

Baat jo kijiye Aur jab kijiye,
Saath main Zikr-e-Mehboob kijiye.

Urdu Naat Information:

Sana Khuwaan: Owais Raza Qadri
Kalaam By: Obaid-E-Raza

  • Daisy

    Allah Allah… Subhan Allah

  • KHALIQ

    MASHALLAH…..

  • KAINAAT

    MASHALLAH VERY NICE..APP BHT ACCHI NATTS PESH KARTE HOO

  • aadam

    aadam
    aai

  • Hassan

    jazzak Allah mashalla subhanalla app ki bohat achi he ye naat

  • Naat

    Jazzak Allah. Allah tallah aap ki iss Naat ki websites main or barkat dalay.

  • ehsan

    subhanallah subhanallah !

© 2012 IslamicLyrics.net. All rights reserved.
Created & Managed by Syed Mehdi. Proudly hosted by iMuslimz Network.