Huzoor Aisa Koi Intezam Ho Jaye Lyrics

Huzoor aisa koi intizam ho jaye,
Kay phir Madina rawana ghulam ho jaye.

Naseeb waalon mein mera bhi naam ho jaye,
Jo zindagi ki Madinay mein shaam ho jaye.

Main shad shad maroon ga, agar dameakhir,
Naseeb jalwa e kahirul anam ho jaye.

Fuzool goi say bach jaye yeh zaban meri,
Mera kalam Durood-o-Salaam ho jaye.

Pia Raza ne pia jo murshid nay,
Ataa mujhe shaha aisa jaam ho jaye.

Shaha Ubaid-e-Raza dar badar phiray kab tak,
Huzoor is ka Madinah maqam ho jaye.

Ubaid mar kay Madinah mein paa chuka hai baqi,
Khabar watan mein kabhi to yeh aam ho jaye.

Naat / Dua Information:

Singer: Owais Raza Qadri

  • Hojy

    mashallah what a wonderful naat. One of my favourites

  • Zona Zafar

    subhan Allah i luv this 

  • Malik Asad Khaur

    Khuda hum sb ki ye dua qabool farmay (Ameen)

    • M.saad kamran

      i love all the ashiq-e-rusool (s.a.w.w) and you too

  • Afzal shah

    asslam-o-aliakum
    Allah is naat ki nisbat se humein Madina ki ziyarat karwadey AMIN

  • AJMAL NAQSHBANDI

    kalam achchha hai, is me tamaam tamannaon ka izhar kya gaya hai jo ek aashiq e rasool chahta hai
    obaid ko duayen

  • http://islamiclycis Babul Samhi

    Mashallah beautiful voice and nice kalam!

© 2012 IslamicLyrics.net. All rights reserved.
Created & Managed by Sayyid al-Mahdi. Proudly hosted by iMuslimz Network.