Huzoor Jante Hain Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Huzoor Jante Hain Lyrics


Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain,
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.

Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya,
Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein.

Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin,
Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor jantay hain.

Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor jante hain.

Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say,
Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor jante hain.

Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe,
Khuda nay kitna nawaza, huzoor jante hain.

Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye,
Kahan say kisnay pukara, huzoor jante hain.

Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein,
Ke yaar e ghar ka rutba, huzoor jante hain.

Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka,
Woh apna hai ke paraya, huzoor jante hain.

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya,
Mizaaj Umar ka hai kaisa, huzoor jante hain.

Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian,
Maqaam unki haya ka, huzoor jante hain.

Hain jiske moula huzoor uske hain Ali moula,
Abu Turab ka rutba, huzoor jante hain.

Yeh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed,
Ali ki shaan e yagana, huzoor jante hain.

Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat,
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.

Jina mein kaun hain sardaar nojawanoon kay,
Hasan, Hussain ke nana, huzoor jante hain.

Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko,
Dar asal kis ko tha sajda, huzoor jante hain.

Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba,
Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor jante hain.

Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha kaisa,
Aao adna aur ma aaoha, huzoor jante hain.

Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa,
Yeh deed e haq ka bahana, huzoor jante hain.

Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye,
Sunaoon kaise fasana, huzoor jante hain.

Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon ko,
Main kis qadar houn kameena, huzoor jante hain.

Khuda hi jaanay UBAID unko hai pata kiya kiya,
Hamein pata hai bus itna, huzoor jante hain.

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke,
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain.

Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad,
Ke unkay gham ka madawa, huzoor jante hain.

Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke,
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain.

Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain.

Main unki baat karoun yeh nahin meri auqaat,
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.

Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain.


More Islamic Lyrics

  1. Trust In Allah Lyrics - Saif Adam
  2. Teri Shaan Jalla Jalaluhu Lyrics - Urdu Hamds
  3. Hansa Lyrics - Hamza Namira
  4. Al-Mu’allim Lyrics - Sami Yusuf
  5. Naat Sarkar Ki Parhata Hoon Mein Lyrics - Milad Raza Qadri
  6. Why? Lyrics - Ahmad Hussain
  7. Idhar Hazaron Nabi o Mursal Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  8. Salatullah Lyrics - Labbayk
  9. Allah Tera Shukar Hai Lyrics - Abdul Hameed Rana Soharwardi
  10. Fragile World Lyrics - Sami Yusuf
  11. Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab e Azeem Lyrics - Naat Lyrics
  12. Forever Palestine Lyrics - Sami Yusuf
  13. Oh Allah Lyrics - Fez Meghani
  14. All It Takes Lyrics - Fez Meghani
  15. Lagiyan Ne Mojan Lyrics - Owais Raza Qadri
  16. Tumhare Sajde Ko Kaba Salam Kehta Hai Lyrics - Naat Lyrics
  17. Ya Rab Hai Bakhsh Dena Lyrics - Owais Raza Qadri
  18. Tala Al Badru Alayna Lyrics - Labbayk
  19. Worth It Lyrics - Harris J.
  20. Morning Musk Lyrics - Gaith Adhami
  21. Ze Eshqat Lyrics - Sami Yusuf
  22. So Real Lyrics - Raef
  23. Likh Raha Hoon Naat E Sarwar Lyrics - Owais Raza Qadri
  24. He is One Lyrics - Tom Robertson
  25. Marhaba Lyrics - Nader Khan

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

74 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
74
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x