Huzoor Jante Hain Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Huzoor Jante Hain Lyrics


Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain,
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.

Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya,
Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein.

Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin,
Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor jantay hain.

Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor jante hain.

Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say,
Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor jante hain.

Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe,
Khuda nay kitna nawaza, huzoor jante hain.

Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye,
Kahan say kisnay pukara, huzoor jante hain.

Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein,
Ke yaar e ghar ka rutba, huzoor jante hain.

Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka,
Woh apna hai ke paraya, huzoor jante hain.

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya,
Mizaaj Umar ka hai kaisa, huzoor jante hain.

Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian,
Maqaam unki haya ka, huzoor jante hain.

Hain jiske moula huzoor uske hain Ali moula,
Abu Turab ka rutba, huzoor jante hain.

Yeh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed,
Ali ki shaan e yagana, huzoor jante hain.

Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat,
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.

Jina mein kaun hain sardaar nojawanoon kay,
Hasan, Hussain ke nana, huzoor jante hain.

Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko,
Dar asal kis ko tha sajda, huzoor jante hain.

Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba,
Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor jante hain.

Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha kaisa,
Aao adna aur ma aaoha, huzoor jante hain.

Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa,
Yeh deed e haq ka bahana, huzoor jante hain.

Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye,
Sunaoon kaise fasana, huzoor jante hain.

Chupa rahe hai lagatar mere aiyboon ko,
Main kis qadar houn kameena, huzoor jante hain.

Khuda hi jaanay UBAID unko hai pata kiya kiya,
Hamein pata hai bus itna, huzoor jante hain.

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke,
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain.

Haran ne oonth ne chiryoon ne ki yehi faryaad,
Ke unkay gham ka madawa, huzoor jante hain.

Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.

Nahi hai zaad e safar pass jin ghulamoon ke,
Unhein bhi dar pe bulana, huzoor jante hain.

Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain.

Main unki baat karoun yeh nahin meri auqaat,
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.

Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain.


More Islamic Lyrics

  1. Sign Language Lyrics - Gaith Adhami
  2. Teri Shaan Jalla Jalaluhu Lyrics - Urdu Hamds
  3. Alwida Alwida Mahe Ramzan Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  4. Land of Revelation Lyrics - Zain Bhikha
  5. Jannah Lyrics - Maher Zain
  6. Naat by Hazrat Abu Bakr “Al-Siddiq” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics
  7. Mohammed Ke Shaher Mein [Part 3-3] Lyrics - Aslam Sabri
  8. Ring in the Desert Lyrics - Gaith Adhami
  9. Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaanay Waalay Lyrics - Owais Raza Qadri
  10. Mere Maula Lyrics - Ahmad Hussain
  11. Happiness Lyrics - Sami Yusuf
  12. Lord of Ramadan Lyrics - CoTu
  13. My Faith My Voice Lyrics - Native Deen
  14. Aye Khuda Lyrics - Ahmad Hussain
  15. Shab E Tareh Lyrics - Shahid Baltistani
  16. Bewaa Ka Sahara Lyrics - Irfan Hussain
  17. Do Bar Namaz Shaheed Hui Lyrics - Qurban Jafri
  18. Meri Zanjeer Na Kehncho Lyrics - Shahid Baltistani
  19. Gunaahon Ki Aadat Chura Mere Mola Lyrics - Owais Raza Qadri
  20. Mast Qalandar Lyrics - Sami Yusuf
  21. Every Day Lyrics - Tom Robertson
  22. Aicha Lyrics - Outlandish
  23. Na Ho Aaram Jis Bimar Ko Lyrics - Farhan Ali Qadri
  24. Paradise Lyrics - Maher Zain
  25. Zameen Meli Nahi Hoti Lyrics - Farhan Ali Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

74 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
74
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x