Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Janan e Mustafa ko hamara salaam ho.

Abbas e namdaar hain zakhmoon say choor choor
Us paikar e riza ko hamara salaam ho.

Akbar say nojwaan bhi run mein huey shahid
Hum shaklay Mustafa ko hamara salam hoo.

Bhai bhateejay bhanjay sab ho gaye nisaar
Har lal e bay baha ko hamara salaam ho.

Asghar ki nanhi jaan pay lakhoon darood houn
Mazloom o bay khata ko hamara salaam ho.

Ho kar shaheed qoum ki kishti tyra gaye
Ummat kay nakhuda ko hamara salaam ho.

Nasir wilaye shah mein kehta hai bar baar
Mehman e Karbala ko hamara salaam ho.

Sultane Karbala Ko Hamara? Salam Ho!
Jaanaane Mustafa Ko hamara Salam Ho.

  • sohel h shaikh

    ia liye tujh pe farishton ke salam aate hai
    karbala teri taraf aaj imam aate hai
    mazale simr nathi kat ta jo sar unka
    hussain ibne ali the hi karbla ke liye.

  • MOHAMMED

    husain e paak ne sajde me sar kia khurbaan . husaini ban ke dikhao utho namaz padho .
    GOD BLESS OWAIS QUADRII

  • Noor Hassan

    God Bless those who wrote and who serve with this salam

© 2012 IslamicLyrics.net. All rights reserved.
Created & Managed by Sayyid al-Mahdi. Proudly hosted by iMuslimz Network.