Ya Rasul Allah Karam Lyrics

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Qaram

Isyaan main duba sar basar, aamal naik hain sifar
Sadkey mein Ghoue e Pak kay, ker do karam ki eik nazar.

Ya Rasoulallah Karam, Ya Habeeballah Karam
Ya RasulAllah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Tum ho Rasuloon kay Rasool dur houn rang o malool
Sadqay main Ghouse Pak kay, kerlo ghulamoon main qabool.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Allah kay ho tum habib, dono jahan kay ho tabib
Sadqey mein Ghous e Paak kay, ho rooh ko shifa naseeb.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Shaqeer e Razvi kay hazoor, houn maaf sab kay sub kasoor
Sadqey mein Ghous e Paak kay, dar’ein ka milay saroor.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Na kaheen say dur hain manzilein, na koi kareeb ki baat hai
Jisay chahein usko nawaz dein, yeah dar e habib ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Jisay chaha dar pay bula liya, jise chaha apna bana liya
Ye baray karam kay hain feslay, yeh baray naseeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Ba Khuda nahin, woh Khuda nahin, woh magar Khuda say juda nahin
Woh hain kiya, magar woh hain kiya nahin, yeh Muhib Habib key baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Woh machal kay rah mein reh gayein, yeh tarap kay dar say lipat gayein
Woh kisi ameer ki shaan thi, yeh kisi ghareeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Tujhay aie Munawar e bay nawa, dar e shah say chahiye aur kiya?
Joh naseeb ho kabhi samana, toh baray naseeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Naat Information:

Album: Oh Allah The Almighty
Recited By: Qari Mohammed Rizwan

  • daanyaal latif

    mashallah very nice naat u have to more on

  • abdulhaseebaslam

    very nice naatttttttttttt
    soooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo niiiiiiiiiiiicccccccccccccccccccccceeeeeeeeeeeeeeeeee

    • mujahid

      very nice naat mashallah

  • Mohammad Ilyas raza qadri

    Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
    Ya Rasoolallah Karam

    Isyaan Main Duba Sar Basar, Aamal Naik Hain Sifar
    Sadkey Mein Ghoue E Pak Kay, Ker Do Karam Ki Eik Nazar.

    Tum Ho Rasuloon Kay Rasool Dur Houn Rang O Malool
    Sadqay Main Ghouse Pak Kay, Kerlo Ghulamoon Main Qabool.

    Allah Kay Ho Tum Habib, Dono Jahan Kay Ho Tabib
    Sadqey Mein Ghous E Paak Kay, Ho Rooh Ko Shifa Naseeb.

    Na Kaheen Say Dur Hain Manzilein, Na Koi Kareeb Ki Baat Hai
    Jisay Chahein Usko Nawaz Dein, Yeah Dar E Habib Ki Baat Hai.

    Jisay Chaha Dar Pay Bula Liya, Jise Chaha Apna Bana Liya
    Ye Baray Karam Kay Hain Feslay, Yeh Baray Naseeb Ki Baat Hai.

    Ba Khuda Nahin, Woh Khuda Nahin, Woh Magar Khuda Say Juda Nahin
    Woh Hain Kiya, Magar Woh Hain Kiya Nahin, Yeh Muhib Habib Key Baat Hai.

    Woh Machal Kay Rah Mein Reh Gayein, Yeh Tarap Kay Dar Say Lipat Gayein
    Woh Kisi Ameer Ki Shaan Thi, Yeh Kisi Ghareeb Ki Baat Hai.

    Tujhay Aie Munawar E Bay Nawa, Dar E Shah Say Chahiye Aur Kiya?
    Joh Naseeb Ho Kabhi Samana, Toh Baray Naseeb Ki Baat Hai.

    (Ummat Kay Pyare Aay) Shaqeer E Razvi Kay Hazoor, Houn Maaf Sab Kay Sub Kasoor
    Sadqey Mein Ghous E Paak Kay, Dar’ein Ka Milay Saroor.

    Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam
    Ya Rasoolallah Karam

    • jafarzara

      subhan allha allha taala alhaj qari mohammed rizwan bulbuly baagy madina ki awaaz mai mithas barkrar rkhy aamin or unhy is trha sdi sy judy rehkr sunniyat ka bolbaala krny ki toufiq ata frma aamin

© 2012 IslamicLyrics.net. All rights reserved.
Created & Managed by Sayyid al-Mahdi. Proudly hosted by iMuslimz Network.