Jashn e Milad e Mohammad Hai Manao Logo Lyrics

Jashne milad e Mohammad hay manao logo
Marhaba salay aala jhoom kay gao logo.

Waqt e maulood sitaray bhi umad kar aaye
Tum bhi ghar bar charagun say sajao logo.

Qudsiyun nay bhi qataroon say sajaya hay falaq
Tum bhi ghar kucha gali shehar sajao logo.

Sar qadam apna bana kay chalo taiba ki taraf
Un kay darbar main qismat say jo jao logo.

Mehfil e naat main bethay hoo muhabat say agar
Choro sharmana zara jhoom kay gao logo.

Qisa e hoor bhi apni jagah per acha
Mujh ko aaqa ki koi baat batao logo.

Itna Tahir bhi samajh paya hay ab ja kay kahin
Jashan ho aaqa ka phir dhoom machao logo.

Naat & Video Information

Naat Khawan: Syedf Ikram Akbar Bukhari
Album: Jashn-e-Millad
D.O.P: Rana Akram
Editor: Abdul Razaque Solangi
Producer: Syed Sabihuddin Rehmani
Director: Kashif Mughal

  • Ridha

    mashallah!!!!!
    very nice

  • jhoom utha sara jahan “lyrics

    plz is main jhoom utha sara jahan naat shamil karen “Ghulam mustafa qadri” ke.

© 2012 IslamicLyrics.net. All rights reserved.
Created & Managed by Sayyid al-Mahdi. Proudly hosted by iMuslimz Network.