Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics - Akram Aslam Sabri

By: 

Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics

Jab aaye jahan mein Muhammad, Rehmat ki badariya chayi,
Butt keh kay giray munn kay bal, Aaqa ki sawari aayi!

Tera noor hai noor e Illahi, kabzay mein Khuda ki khudayi,
Nahin itni kalam mein taqat, likhay meray Nabi ki barai.
Yeh hain dono jahan kay sarwar, boli Halima dayi.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Zulmat ke chatay hain badal, rehmat ki huyi hai hal chal,
Jab aaye kamaliya wale, rehmat huye hain ujalay,
Aaqa nay mitayi jahan say, Abu Jahal ki burayi.


Jab aaye jahan main Muhammad…

Qadmoon main hai unkay Janat, yeh hai meray Nabi ki azmat,
Yeh baat hai bando haqeeqat, Aadam ki huyi hai shafa’at,
Jab aaya khiyal e Muhammad, Aadam nay di hai duhai.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Batlao gay jo sach mujhko, manoon ga Nabi jab tumko,
Muthi main batao kiya hai, yeh pucha Shah e Umam ko,
Kankar nay parha jab kalma, Abu Jahel ne moun ki khayi.

Jab aaye jahan main Muhammad…

Abu Bakr o Umar aur Farooq, Usman o Ghani aur Haider,
Chamkaya inka muqadar, hai haath Nabi ka sar par,
Sarkar nay dono jahan mein, azmat charoon ki barhai.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Hai saath Nabi kay rehmat, Allah ko hai unsay chahat,
Nabiyoon ki karein woh imamat, hai pusht pay mohray nabuwa’at,
Mehboob hain yeh to Khuda kay, Quran nay di hai gawahi.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Bin dekhay RasoolAllah ko, na ishq ka daman choray,
Aik dant Nabi ka toota, sab dant Owais nay toray,
Aie [Qatil] na hum nay dekha, aisa koi shedai.

Ya Habibi, Ya Muhammad, Ya Habibi, Ya Muhammad…


More Islamic Lyrics

  1. Maqsad e Aalam e Hayaat e Nabi Lyrics - Naat Lyrics
  2. 99 Names of Muhammad Lyrics - Beautiful Names
  3. Saaeein Mawla Lyrics - Fez Meghani
  4. You’re There Lyrics - Raef
  5. Salutation Lyrics - Sami Yusuf
  6. Allah is Calling You Lyrics - Labbayk
  7. Subha Taiba Mein Hui Lyrics - Owais Raza Qadri
  8. Shah e Madinah Mujh Ko Taibah Bula Liye Hain Lyrics - Naat Lyrics
  9. Maine Rukh Kar Liya Madine Ka Lyrics - Naat Lyrics
  10. Karam Kay Aashiyanay Ki Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  11. Palestine Lyrics - Irfan Makki
  12. Panaah Lyrics - Fez Meghani
  13. Hamziyya Lyrics - Sami Yusuf
  14. Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Lyrics - Mohammad Mushtaq Qadri
  15. Number One For Me Lyrics - Maher Zain
  16. Look Into My Eyes Lyrics - Outlandish
  17. To Guide You Home Lyrics (INSTRUMENTAL) Lyrics - Sami Yusuf
  18. Why? Lyrics - Ahmad Hussain
  19. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi Lyrics - Naat Lyrics
  20. Assalamu Alayka Lyrics - Maher Zain
  21. One God Lyrics - Zain Bhikha
  22. Every Beat Lyrics (Arabic & French) Lyrics - Aashiq al-Rasul
  23. Hum Apne Nabi Ke Deewane Lyrics - Ahmad Raza Qadri
  24. Change our Hearts Lyrics - Abdullah Rolle
  25. The Sound of Tears Lyrics - Nader Khan

COMMENTS

Subscribe
Notify of

0 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x