Mohammed Ke Shaher Mein [Part 2-3] Lyrics - Aslam Sabri

By: 

Mohammad Ke Shahar Main [Part 2-3] Lyrics


Due to high download requests… we have decided to share the mp3 download link of this Qawwali.
Download Link: CLICK HERE for Mohammad Ke Shehar Mein MP3

Part 1 Lyrics: Mohammed Ke Share Main
Part 3 Lyrics: Mohammed Ke Share Main

Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.
Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Nazaan hai jis pay husn woh husn-e-Rasool hai,
Yeh keh-kashaan to app kay kadmoon ki dhool hai,
Aye rehrawaan-e-shaukh, chalo sarr kay bal chalien.
Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.
Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Begaana-e-irfaan ko, haqeeqat ki khabar kya,
Jo aapse waakif na ho, wo ahl-e-nazar kya,
Manzoor-e-nazar kaun hua iski khabar kya,
Woh fazl pay ajaye toh phir aib-o-hunar kya,
Kaamil ko darr-e-yaar ke sajdon say na roko,
Qurbaan jahan dil ho, wahan keemat-e-sarr kya
Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.
Chalo sarr ke ball chalen, Chalo sarr kay bal chalien.

Aao gunahgaaron chalo sarr kay ball chalen x2
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein

Kadmon nay unke khaak ko kundan banadiya,
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya.

[ Allama Sir Muhammad Iqbal’s Poem Verse ]

Teri nigaah say zaraay bhi mehr-o-maah banay,
Gadaye besar-o-samaan jahan panaah banay,
Huzoor hee kay karam nay mujhay tasalli dee,
Huzoor hee meray gham mein meri panaah banay,

Zamana wajd-kuna ab bhi unkay tauk mein hai (Regarding Ghar-e-Hira),
Jo koho-dusht kabhi teri jalwagah bane,
Wohi maqaam mohabbat ki jalwa-gaah banay,
Jahaan jahaan say woh guzre jahan jahan pohunchay.

Kadmon nay unke khaak ko kundan banadiya,
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya,
Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein
Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein.

Sadqa lutaa raha hai, Khuda Unke naam ka, x2
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein

Sab toh jhuke hain Khana-e-Kaaba ke saamne,
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein

[ Maulana Ahmed Raza Khan Barelwi & Sufi Bismil Baba’s Poem Verses ]

Hajiyo aao Shahenshaah ka roza dekho,
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho,
Madina woh hai ke Kabaa bhi sajda karta hai,
Kaaba khud Taiba ki janib jhukta lagta hai.

Kaabe ka Kaaba Sarkaar ka roza lagta hai.

Phool gulaab ka aapke chehre jaisa lagta hai,
Aur chamakta chaand Nabi ka talwa lagta hai.

Sab toh jhuke hain Khana-e-Kaaba ke saamne, x2
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein.

Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka aaj bhi,
Khicha kuch is niraali-shaan say naksha Mohammed ka,
Kay naqqash-e-azal bhi hogaya shaida Mohammed ka,
Koi kya dekhta aks-e-kadd-e-wala Mohammed ka,
Saraapa noor tha woh kaamat-e-zebaa Mohammed ka,
Issi baais nazar aata na tha sayaa Mohammed ka.

Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka ajj bhi….. x2

Qawwali Information:
Qawwali: Mohammad Ke Shahar Main
Artist: Aslam Sabri
Music: Md. Tahir
Presenter: Sonic Enterprises

Other Parts of Qawwali:
Part 1 Lyrics: Mohammed Ke Share Main
Part 3 Lyrics: Mohammed Ke Share Main

Due to high download requests… we have decided to share the mp3 download link of this Qawwali.
Download Link: http://rapidshare.com/files/276915229/Mohammad-Ke-Shehar-Mein.mp3


More Islamic Lyrics

  1. Un Ki Mehak Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye Hain Lyrics - Owais Raza Qadri
  2. Open Your Eyes Lyrics - Labbayk
  3. A’marona A’malona Lyrics - Maher Zain
  4. Mast Qalandar Lyrics - Sami Yusuf
  5. Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan Lyrics - Hashim Sisters
  6. Pizza in His Pocket Lyrics - Zain Bhikha
  7. Aseer Ahsan Lyrics - Humood Alkhudher
  8. Thula Sizwe Lyrics - Zain Bhikha
  9. Nabi Ki Naat Mein Padh Lun To Koi Baat Nahi Lyrics - Naat Lyrics
  10. Ya Mustafa Lyrics - Adam Ali
  11. Balaghal Ula Be Kamalehi Lyrics - Sabri Brothers
  12. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho [Part 1-2] Lyrics - Owais Raza Qadri
  13. Eik Boondh Bhi Lyrics - Mesum Abbas
  14. Dunya Ke Ay Musafir Lyrics - Labbayk
  15. Do Bar Namaz Shaheed Hui Lyrics - Qurban Jafri
  16. Always Be There (French) Lyrics - Maher Zain
  17. There Is None Greater Lyrics - Abdullah Rolle
  18. Asma ul Husna Lyrics - Labbayk
  19. Your Mercy Lyrics - Raef
  20. Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho Lyrics - Owais Raza Qadri
  21. Kankar Se Kalma Parhwao Phir Kehna Hum Jaise The Lyrics - Naat Lyrics
  22. Khusravi Achi Lagi Na, Sarwari Achi Lagi Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  23. Kivain Mukhre Toon Nazran Hatawan Lyrics - Milad Raza Qadri
  24. Mukh Mor Lenday Penan Tay Para Lyrics - Qari Shahid Mahmood
  25. Ya Rabbi bil Mustafa Lyrics - Labbayk

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

83 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
83
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x