Mera Iman Ali Hai Ali

By: 

Mera Iman Ali Hai Ali Lyrics

Kuley iman Ali (x2)

Kuley iman Hussain (x2)
Kuley iman Ali (x2)
Kuley iman Hussain (x2)
Deen ki shaan Ali (x2)
Deen ki shaan Hussain

Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x3)
Shah wAliyon ka Ali (x2) Nabiyon ka sultan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Hain bila fasl yeh donon he nabi ki zeenat (x2)
Aik sardar e jinan air qaseem e jannat


Adl e allah Ali (x2) adl ki mezan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Chashm e khAliq mein hain ek doojay kay humsar donon
Aik nisbat say hai kul nabion say bartar donon
Nafs e ahmed hai Ali (x2) zehra ki hai jaan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Sarey alam kay liye saray jahanon kay liye (x2)
Sab zameenon kay liye saray zamanon kay liye
Rab ki rehmat hai Ali (x2) rab ka hai ahsan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Yeh tow khud nabion ka sultan gawahi daygha (x2)
Haan isi baat pay quran gawahi dayga
Nuqta e baa hai Ali (x2) bolta quran Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik hai khana e kaba ka bananay wala (x2)
Aik hai kalma e tauheed bachanay wala
Zamin e kaba Ali (x2) aur nigehban husaain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik ney nabion say her lamha e mushkil taala (x2)
Aik ney fitrus o rahib ka muqaddar badla
Hai Ali amr e khuda (x2) rehmat e rehman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik khAliq ki razaon ka khareedar bana (x2)
Aik woh jiska khuda aap talabgar bana
Yani haider ki tarha (x2) rab kay hai arman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aik be zar ko abuzar hai bananay wala (x2)
Aik hai hur ko jahanum say churanay wala
Meherban jaisa Ali (x2) waisa meherban Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Aaj bhi deen e payaamber yeh sada daita hai (x2)
Ab bhi islam ka pekar yeh sada daita hai
Mera rutba hai Ali (x2) hai mera ailan Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x2)

Ya Hussain

Na to dola hai na dolay ga aqeeda mera (x2)
Raat din noor Ali hai yeh wazeefa mera
Mera mazhab hai Ali (x2) hai mera eman Hussain
Mera iman hai Ali hai meri pehchan Hussain (x3)

Lyrics Information
Recited By: Fatima & Batul Dhamani
Album: Ali Hamara Hai
Released: 2009


More Islamic Lyrics

  1. Inna Fil Jannati
  2. Celebrate
  3. SubhanAllah
  4. Shahaada [Urdu Version]
  5. Ellahi
  6. Haji Menuju Allah
  7. 99 Names of Muhammad
  8. Haq Allah
  9. Kaliyan Zulfan Wala
  10. Aaj Aaye Nabiyon Kay Sardar Marhaba
  11. Heaven
  12. Lamyaati Nazeero Kafi Nazarin
  13. Tera Naam Virde Zubaan Rahay
  14. Alwida Alwida Mahe Ramzan
  15. Tumhare Sajde Ko Kaba Salam Kehta Hai
  16. Ameer Bhi Hai Ghareeb Bhi
  17. Asma ul Husna
  18. An Nabi Sallu Alai [Part 2-2]
  19. Open Your Eyes
  20. Ajaban
  21. Close Your Eyes
  22. Ya Taiba
  23. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
  24. Dunya Ke Ay Musafir
  25. All I Need

2 thoughts on “Mera Iman Ali Hai Ali”

  1. Ya Ali Madad a.s asslam-o-alaikum allah apko salamat rakhay rizwan bhai ki sari cds line hain plz mujh se contact karay [Contact phone number is hidden by Admin]

    Reply

Leave a Comment