Darpesh ho Taiba ka safar, kaisa lagay ga
Guzrein jo wahan shaam o sehar, kaisa lagay ga.
Chorus:
Bara acha lagay ga, bara pyara lagay ga, bara meetha lagay ga
Aye kash Madinay mein mujhay mout youn aaye
Qadmoom main ho sarkar kay sar kaisa lagay ga.
[ Chorus ]
Aye pyaray Khuda daikhoon mein sarkar ka jalwa
Mil jayen dua to jo asar kaisa lagay ga.
[ Chorus ]
Aaqa ka gada hoon aie jahannum bhi to sun lay
Woh kaisay jalay jo keh ghulam e Madani ho.
Aye kash main ban jayoon Madinay ka musafir
Phir rooti hui Taiba ko baraat chali ho.
Jab dur say hai itna haseen Gumbad e Khizra
Iss paar yeh aalam hay udhar kaisa lagay ga.
[ Chorus ]
Taibba ki sa’aadat to youn patay hain hazaron
Murshid ka saath ho jo safar kaisa lagay ga.
[ Chorus ]
Aa jayein meray ghar mein agar Rehmat e Aalam
Main kaisa lagoon ga mera ghar kaisa lagay ga.
[ Chorus ]
Darpesh ho Taiba ka safar, kaisa lagay ga
Guzrein jo wahan sham o sehr, kaisa lagay ga.
Bara acha lage ga, bara pyara lage ga, bara meetha lage ga
Mashaalla
Most beautiul naat
It’s awesame
MashaAllah
Best Lyrics :)
Masha Allah
Best Lyrics :”)
beautiful naat i love to read this mashallah
Mashallah
Beautiful naat
Mashallah……Beautiful N’aat
Mashallah
It is my favourite naat! Ut is the best!
It’s a real heart touching naat for me..I like this naat forever and ever in my life…