Na Ho Aaram Jis Bimar Ko

By: 

Na Ho Aram Jis Bimar Ko Lyrics

Na ho aram jis bimar, ko saarey zamaaney say
Utha ley jaaey thori khak unkey aastaney sey

Tumharey dar, ke tukron sey, bara palta hai ik aalam
Guzaara sab ka hota hey, issee muhtaj khaaney sey.

Koi firdous ho ya khuld ho, hum ko ghalat mutlab
Lagaya ab to bistar aap hee key aastaney sey.

Na kyun un kee taraf Allah, so so piyaar sey deykey.
Jo apni aankey maltey hain, tumhaarey aastaney sey.

Tumhaarey to woh ihsaan aur na-farmaaniyan apni
Hamein to sharam see aathi hai tum ko munh dikhaaney sey

Bahaarey khuld sadqey ho rahi hey ruuh-e aashiq par
Killi jaatee hain kaliyan dil, teree muskaraney sey

Zamin thori see dey dey bahr-e madfan un key kuchey may
Laga dey merey piyaaray meri mittee bhi tikaaney sey

Falak ka hai jo zaahir uss sey kehta hai naseeb us ka
Arey ghaafil kaza behtar,yahaan say phir ke jaaney sey

Bulalo apney dar par ab, to hum khaanah nadoshoo ko
Phirey kub tak zaleel-o khwaar be dar dar tikaaney sey

Na pahunchey un key kadmoh tak, na kuch husn-e amal hee hey
Hassan kiya puchtey ho hum gayeh guzrey zamaaney sey

Na ho araam jis bimaar, ko saarey zamanay sey
Utha ley jaaey thori khaak unkey aastaney sey.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. O Muhammed
  2. Ya Rahman – یا رب یا رحمان
  3. Sallou
  4. Muhammad (P.B.U.H)
  5. Sultan e Karbala Ko Hamara Salam Ho
  6. Hoon Mein Nadim Gunahoon Par Ya Rab
  7. Shahe Madina
  8. The Cave of Hira
  9. Hasbun’ Allah
  10. Ring in the Desert
  11. Aao Tasbih Hee Subho Shaam Karain
  12. Pohnchoon Dar e Sarkar Pe Chaha To Yehi Hai
  13. Mother (Turkish)
  14. Lab Pe Aati Hai Dua
  15. Rabbana
  16. Kya Mahekte Hain Mahekne Wale
  17. Mohammed Ke Shaher Mein [Part 3-3]
  18. Main Madine Chala
  19. Is It True
  20. Ya Taybah
  21. Haji Menuju Allah
  22. Bismillah
  23. Dil Karda Allah Allah
  24. Provu Tumi Amari
  25. Teri Mehfil Mein Chala Aya Hun

8 thoughts on “Na Ho Aaram Jis Bimar Ko”

  1. Corrections to the above:

    Tumharey dar, ke tukron sey, PADA palta hai ik aalam
    Guzaara sab ka hota hey, issee muhtaj khaaney sey.

    Koi firdous ho ya khuld ho, hum ko GHARAZ matlab
    Lagaya ab to bistar aap hee key aastaney sey.

    Bahaarey khuld sadqey ho rahi hey ruuh-e aashiq par
    Killi jaatee hain kaliyan dil KE teree muskaraney sey

    Bulalo apney dar par ab, to hum khaanah BADOSHO ko
    Phirey kub tak zaleel-o khwaar dar dar be-thikaaney sey

    Reply

Leave a Comment