Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Teri Shaan Jalla Jalaluhu Lyrics - Urdu Hamds
  2. Redemption Song Lyrics - Raef
  3. Ya Taiba Lyrics - Various Artists
  4. 99 Names of Muhammad Lyrics - Beautiful Names
  5. Ya Taybah Lyrics - Native Deen
  6. Heartbeat Lyrics - Zain Bhikha
  7. All I Need Lyrics - Sami Yusuf
  8. Al Qudsu Tunadeena Lyrics - Ahmed Bukhatir
  9. I’m Your Hope Lyrics - Sami Yusuf
  10. O’ My Lord Lyrics - Labbayk
  11. Tauba Qabool Ho Lyrics - Mahmood Ul Hassan Ashrafi
  12. Sallou Lyrics - Sami Yusuf
  13. Al Ajal Al Ajal Lyrics - Dhamani Sisters
  14. Aaj Ashk Mere Naat Sunain Lyrics - Khursheed Ahmad
  15. The Woman I Love Lyrics - Zain Bhikha
  16. Aicha Lyrics - Outlandish
  17. Our Earth Lyrics - Native Deen
  18. Ramadhan Lyrics - Labbayk
  19. Karam Karte Ho Rehte Ho Lyrics - Naat Lyrics
  20. Karam Mangta Hoon Lyrics - Owais Raza Qadri
  21. Peace Remain Lyrics - Kareem Salama
  22. Tera Khawan, Main Tere Geet Gawan Lyrics - Owais Raza Qadri
  23. We At War Baby Lyrics - Gaith Adhami
  24. Karam Kay Aashiyanay Ki Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  25. Subhanallah (Subhan Allah) Lyrics - Khaleel Muhammad

COMMENTS

Subscribe
Notify of

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x