Rab Ne Diya Hay Unko

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. My Lord
  2. Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho
  3. Freedom
  4. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
  5. Ahad – The Story of Bilal
  6. Where is my Warrior?
  7. Kankar Se Kalma Parhwao Phir Kehna Hum Jaise The
  8. Aao Tasbih Hee Subho Shaam Karain
  9. Hoon Mein Nadim Gunahoon Par Ya Rab
  10. Zameen Meli Nahi Hoti
  11. Ask Him
  12. Palestine
  13. I Think of You
  14. Heart of Homs
  15. Muhammad (Pbuh)
  16. Bheeni Suhani Subhu Mein Thankdak Jigar Ki Hai
  17. Lamyaati Nazeero Kafi Nazarin
  18. Naat Sarkar Ki Parhata Hoon Mein
  19. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  20. Zara Chehre Se
  21. Shab E Tareh
  22. Laylatul Qadr
  23. Aie Mere Baba Jaan
  24. Ya Maula Ali (AS)
  25. Ya Rasul Allah (Part 2)

43 thoughts on “Rab Ne Diya Hay Unko”

    • assalam u alaikum bhai jan jazzak allah. subhan allah khdu ap or eiman or mohabbati or dini avaj bakse subhan allah. sher mohammad

      Reply
  1. assalam u alaikum .mashaallah jazzak allah.allah ap ko or eiman day. plz i wana mobitune code of rab ne diya hai un ko main un se mangta hun for mobilink users thanks

    Reply
  2. mashallah what a beautiful naat also ALL your other naats are good and beautifully recited
    may ALLAH (s.w.t) bless you and your family
    (Amin) keep it up !!!!!!!!!!!!! :)

    Reply
  3. Mashallah this naat shareef is sang very well by Farhan Ali Qadri and he is such a good influence to all the young people mashallah may Allah (sa) grant him Jannath ! XxX……

    Reply
  4. OMG HE HAS GROWN SSOOOO BIG SINCE THE LAST TYME I SAW HIM MASHALLA  he sings such beautiful naats mashalla my favourite naat

    Reply
  5. Awsomee nath ever…………………..ya Allah ….let farhan sing some more nath soo that we too can sing and get inspired………..

    Reply
    • wow farhan you are the best naat khwan in this whole world you sing very beautifully god bless you and I can’t believe you have grown much older from before. allah tallah aapko jannat mein jaga de farhan

      Reply
  6. Assalam O Alaikum Friend!
    I am Sarfaraz Abidi, Lyricist Of “Rab nay diya hay unko” Jazaak’Allah for Likes and Comments

    Reply
  7. Very nice naat I like this naat I Love Wow farhan you are the best allah tallh appko jannat maqfirath farmain Ameen summa ameen

    Reply

Leave a Comment