Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Is It True Lyrics - Abdullah Rolle
  2. Nibhalo Tum Ya Rasoolallah Lyrics - Naat Lyrics
  3. Jannat Mein Lay Kay Jayay Gi Lyrics - Farhan Ali Qadri
  4. Nur ‘Ala Nur Lyrics - Aashiq al-Rasul
  5. Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Lyrics - Shaz Khan
  6. Smile Lyrics - Sami Yusuf
  7. The Path of a Traveller Lyrics - Labbayk
  8. You Are The One Lyrics - Raef
  9. Main Madine Chala Lyrics - Owais Raza Qadri
  10. Ajab Rang Par Hai Bahare Madina Lyrics - Naat Lyrics
  11. Morning Prayer Lyrics - Tom Robertson
  12. Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics - Junaid Jamshed
  13. Insan Lyrics - Hamza Namira
  14. Apni Nisbat Se Mein Kuch Nahi Hu Lyrics - Owais Raza Qadri
  15. Tumhare Sajde Ko Kaba Salam Kehta Hai Lyrics - Naat Lyrics
  16. Allah Ya Moulana Lyrics - Maher Zain
  17. Good Day Lyrics - Maher Zain
  18. Ben Yürürüm Yane Yane Lyrics - Sami Yusuf
  19. Departure Lyrics - Gaith Adhami
  20. You Came To Me (Turkish) Lyrics - Sami Yusuf
  21. I Pray For You Lyrics - Ahmad Hussain
  22. Your Mercy Lyrics - Raef
  23. Wohi Sab Say Meeti Zubaan Hai Lyrics - Various Artists
  24. Allahumma Salli ‘ala Muhammed Lyrics - Aashiq al-Rasul
  25. Falak Kay Nazaaro Lyrics - Abid Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x