Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics - Akram Aslam Sabri
  2. The Source Lyrics - Sami Yusuf
  3. Look Into My Eyes Lyrics - Outlandish
  4. Al Malik Lyrics - Hesham Abdul Wahab
  5. Ca C’est La Vie Lyrics - Zain Bhikha
  6. Ramadan Is Here Lyrics - Native Deen
  7. Aao Tasbih Hee Subho Shaam Karain Lyrics - Milad Raza Qadri
  8. Paradise Lyrics - Maher Zain
  9. Ala Bi Dhikrika Lyrics - Sami Yusuf
  10. Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai Lyrics - Owais Raza Qadri
  11. Oh Lord Lyrics - Abdullah Rolle
  12. Ya Mustafa Ata Ho Lyrics - Owais Raza Qadri
  13. Allah’s Watching Me Lyrics - Asif Choudhury
  14. Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika Lyrics - Owais Raza Qadri
  15. Qasida e Mairaj for Shab e Meraj | Shabe Miraj Lyrics - Special Collection
  16. Ajab Rang Par Hai Bahare Madina Lyrics - Naat Lyrics
  17. Waiting For The Call Lyrics - Irfan Makki
  18. Go Lyrics - Sami Yusuf
  19. I’m So Sorry Lyrics - Irfan Makki
  20. 25 Prophets Lyrics - Zain Bhikha
  21. Wo Charag e Deen e Muhammadi Lyrics - Naat Lyrics
  22. Falak Kay Nazaaro Lyrics - Abid Qadri
  23. Nas Teshbehlena Lyrics - Maher Zain
  24. Meri Kashti Paar Laga Dena Lyrics - Saira Naseem
  25. The Earth Trembled Lyrics - Voices Of Passion

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x