Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. A Thousand Times Lyrics - Sami Yusuf
  2. Rab Farmaya Mahbooba Lyrics - Milad Raza Qadri
  3. Hum Apne Nabi Ke Deewane Lyrics - Ahmad Raza Qadri
  4. Mera Dil Badal De Lyrics - Junaid Jamshed
  5. You Came To Me (Turkish) Lyrics - Sami Yusuf
  6. Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics - Akram Aslam Sabri
  7. Yeh Meri Maa Ki Duaon Ka Asar Lagta Hai Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  8. Take My Hand Lyrics - Nader Khan
  9. Jalwa e Jaana Lyrics - Junaid Jamshed
  10. Lughat Al’Aalam Lyrics - Humood Alkhudher
  11. Departure Lyrics - Gaith Adhami
  12. Aseer Ahsan Lyrics - Humood Alkhudher
  13. Number One For Me Lyrics - Maher Zain
  14. I Think of You Lyrics - Mesut Kurtis
  15. Allah Remains Lyrics - Zain Bhikha
  16. Ibn El-Watan Lyrics - Hamza Namira
  17. Aaqa Lyrics - Abida Parveen
  18. Subhana Allah (Turkish Version) Lyrics - Maher Zain
  19. Ask Him Lyrics - Labbayk
  20. Only Fear Allah Lyrics - Native Deen
  21. Kiya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  22. Nabi Ka Zikar Hi Lyrics - Umair Zubair Qadri
  23. The Power Lyrics - Maher Zain
  24. Ehlam Ma’aya Lyrics - Hamza Namira
  25. Hamziyya Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x