Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. La’alla Khair Lyrics - Humood Alkhudher
  2. Ummati Lyrics - Maher Zain
  3. Aie Mahe Ramzan Alwada Lyrics - Qari Mohammed Rizwan
  4. Ramzan Hai Allah Ki Qurbat Ka Mahina Lyrics - Aamir Fayyazi
  5. Beautiful Brave Souls Lyrics - Gaith Adhami
  6. Departure Lyrics - Gaith Adhami
  7. Aa Palat Aa Aye Hussain (A.S) Lyrics - Irfan Hussain
  8. Missing You Lyrics - Ahmad Hussain
  9. Naat by Hazrat Uthman ibn Affan “Ghani” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics
  10. Assalamu Alayka Lyrics - Maher Zain
  11. Inquilab Inquilab Lyrics - Irfan Hussain
  12. Provu Tumi Amari Lyrics - Labbayk
  13. Naimatain Banta Jis Simt Woh Zeeshan Gaya Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  14. Little Girl Lyrics - Fez Meghani
  15. Mujh Pey Be Chashme Karam Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  16. Qadam Qadam Pe Khuda Ki Madad Lyrics - Owais Raza Qadri
  17. Al Malik Lyrics - Hesham Abdul Wahab
  18. Ala Bab Allah Lyrics - Hamza Namira
  19. Aiy Taiba Lyrics - Junaid Jamshed
  20. Ya Taiba Lyrics - Ahmad Hussain
  21. Har Taraf Anwaar Ki Barsaat Hai Lyrics - Various Artists
  22. Masha Allah Lyrics - Maher Zain
  23. Allah Lyrics - Shpend Limani
  24. Imagine A Day Lyrics - Labbayk
  25. All I Need Lyrics - Sami Yusuf

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x