Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Call On Him Lyrics - Raef
  2. Ameen Kaho Bacho Lyrics - Mesum Abbas
  3. My Beloved Lyrics - Ahmad Hussain
  4. Baraka Allahu Lakuma Lyrics - Maher Zain
  5. Healed Lyrics - Gaith Adhami
  6. Give Thanks To Allah Lyrics - Zain Bhikha
  7. Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Lyrics - Owais Raza Qadri
  8. Tan Sadkay Mera Man Sadkay Lyrics - Milad Raza Qadri
  9. All I Need Lyrics - Sami Yusuf
  10. Na Ho Aaram Jis Bimar Ko Lyrics - Farhan Ali Qadri
  11. Saaeein Mawla Lyrics - Fez Meghani
  12. Al Qudsu Tunadeena Lyrics - Ahmed Bukhatir
  13. Beautiful World Lyrics - Noor
  14. My Lord Lyrics - Native Deen
  15. One Day Lyrics - Maher Zain
  16. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye Lyrics - Farhan Ali Qadri
  17. Insha Allah Lyrics - Maher Zain
  18. Countless Voices Lyrics - Voices Of Passion
  19. Ehlam Ma’aya Lyrics - Hamza Namira
  20. Aie Mere Baba Jaan Lyrics - Shahid Baltistani
  21. Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics - Junaid Jamshed
  22. Kivain Mukhre Toon Nazran Hatawan Lyrics - Milad Raza Qadri
  23. Forever Palestine Lyrics - Sami Yusuf
  24. Incha Allah (French) Lyrics - Maher Zain
  25. Tala Al Badru Alayna Lyrics - Labbayk

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x