Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Love Who You Are Lyrics - Harris J.
  2. A New Day Lyrics - Labbayk
  3. Khorasan Lyrics - Sami Yusuf
  4. The Earth Trembled Lyrics - Voices Of Passion
  5. Paradise Lyrics - Maher Zain
  6. Free Lyrics - Sami Yusuf
  7. Allahu Lyrics - Sami Yusuf
  8. Teri Shaan Jalla Jalaluhu Lyrics - Urdu Hamds
  9. Pearl Lyrics - Sami Yusuf
  10. Afreen Afreen Lyrics - Aashiq al-Rasul
  11. Mein Jashn E Aamad E Sarkar Lyrics - Owais Raza Qadri
  12. Sizomkhonz’ uAllah Lyrics - Zain Bhikha
  13. Idhar Hazaron Nabi o Mursal Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  14. Aie Mout Thahar Jaa Lyrics - Owais Raza Qadri
  15. Allah The Almighty Lyrics - Aashiq al-Rasul
  16. Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan Lyrics - Hashim Sisters
  17. Aie Rab e Jahan Panjtan e Pak Ka Sadqa Lyrics - Aamir Liaquat
  18. Silent Words Lyrics - Sami Yusuf
  19. Why? Lyrics - Ahmad Hussain
  20. Nabi Ki Naat Ki Mehfil Lyrics - Farhan Ali Qadri
  21. Rahman Ramazan Lyrics - Aamir Liaquat
  22. Wherever You Are Lyrics - Sami Yusuf
  23. Tera Naam Virde Zubaan Rahay Lyrics - Milad Raza Qadri
  24. Aie Sabz Gumbad Wale Lyrics - Owais Raza Qadri
  25. Mawlaya Lyrics - Maher Zain

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x