Rab Ne Diya Hay Unko Lyrics - Farhan Ali Qadri

By: 

Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo


More Islamic Lyrics

  1. Zameen o Zaman Tumhare Liye Lyrics - Khursheed Ahmad
  2. Un Ki Mehak Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye Hain Lyrics - Owais Raza Qadri
  3. Aagaya Hai Lyrics - Labbayk
  4. Ya RasoolAllah Karam Lyrics - Qari Mohammed Rizwan
  5. Eid Song Lyrics - Sami Yusuf
  6. Rang Day Moula Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Pearl Lyrics - Sami Yusuf
  8. Tuntunku KepadaMu Lyrics - Maher Zain
  9. Salat al-Badriyya Lyrics - Talib al Habib
  10. Cadence Lyrics - Sami Yusuf
  11. Edhak Lyrics - Humood Alkhudher
  12. Celebrations Lyrics - Labbayk
  13. Endless Bounty Lyrics - Noor
  14. Rab Farmaya Mahbooba Lyrics - Milad Raza Qadri
  15. Shahaada [Urdu Version] Lyrics - Fez Meghani
  16. Muhammad (P.B.U.H) Lyrics - Ahmad Hussain
  17. Ya Nabi Salam Alayka (Turkish Version – Türkçe) Lyrics - Maher Zain
  18. Naat by Hazrat Abu Bakr “Al-Siddiq” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics
  19. Ramazan (Turkish – Türkçe Version) Lyrics - Maher Zain
  20. Al Ajal Al Ajal Lyrics - Dhamani Sisters
  21. Peace & Blessings Lyrics - Raef
  22. I Think of You Lyrics - Mesut Kurtis
  23. One Day Lyrics - Maher Zain
  24. First We Need the Love Lyrics - Zain Bhikha
  25. Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar Lyrics - Owais Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

43 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
43
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x