Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan Lyrics - Hashim Sisters

By: 

Lut Ke Ayi Hu Mein Nana Jaan Lyrics

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Kiya batoon nana jaan kis kadar huye sitam
Qarbala say Shaam tak har qadam milaye hain gham
Dard ki suno zara azaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Chor kar watan chala par’aye dais kafila
Dard baikasi azee’atoon ka silsila mila
Qarbala jo pohncha karwaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut kay ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Aik roz mein ujar gayi thi aale Mustafa
Bach saka na zulm koi, jo bacha woh sabr tha
Ho raha tha girya o fugha, ghar mera ujar ke rah gaya.

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Bazoo cut gaye firaat per jari daleir kay
Mashaq kiya chiri kay totay honslay bhi sheir kay
Ho gaye Haram bhi bay aaman, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Khak per ragar raha hai airiyaan jawan pisar
Khogayi bisaratay Hussain jab suni khabar
Bein kar rahi hai rokay maan, gher meira ujhar kay rahgaya.

Lut kay aayi houn main nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Meray shair meray ladlay bhi ran mein so gaye
Teen roz kay yeh bhukay piyaasay katal ho gaye
Dasht main tha hashr ka saman, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut key ayi houn mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Haye bay zubaan sheer khuwar bhi na bach saka
Kurmula kay teer say gala jo uska chir gaya
Tash’na lub raha woh bay zubaan, ghar mera ujhar kay rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay rah gaya.

Kiya karoon bayaan nana waqt woh ajeeb tha
Tashna lub Hussain tera kis qadar ghareeb tha
Bhai pay tha sakhat imtehan, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Bade shah jal gaye khayam chin gayi rida
Iss dayar e ghair mein na tha koi bhi asra
Band gayein rasan say bibiyaan, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Rok Safdar E Hazeen qalam kalam say khoon hai rawan
Bint e sayida kay bain say laraz gaya jahan
Jab kaha kay haye nana jaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Nawha Information

Nawha Recited By: Hashim Sisters ( Adeeya Hashim, Mahum Hashim, Saania Hashim )
Location of Reciters: London, UK
Album: Ghamkharan e Sakina 2008 Volume
Written By: Safdar Abbas.


More Islamic Lyrics

  1. Sizomkhonz’ uAllah Lyrics - Zain Bhikha
  2. By My Side Lyrics - Maher Zain
  3. Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye Lyrics - Naat Lyrics
  4. Ignorant Minds Lyrics - Tom Robertson
  5. My Lord Lyrics - Native Deen
  6. Heartbeat Lyrics - Zain Bhikha
  7. Allah Ke Huzoor Mein Sar Ko Jhuka Ke Dekh Lyrics - Naat Lyrics
  8. Nibhalo Tum Ya Rasoolallah Lyrics - Naat Lyrics
  9. Ew’idooni Lyrics - Hamza Namira
  10. Allah Remains Lyrics - Zain Bhikha
  11. Man In The Mirror Lyrics - Raef
  12. Na Ho Aaram Jis Bimar Ko Lyrics - Farhan Ali Qadri
  13. The Remedy Lyrics - Native Deen
  14. Mai Bhi Roze Rakhunga Lyrics - Special Collection
  15. Subha Taiba Mein Hui Lyrics - Owais Raza Qadri
  16. Zameen Maili Nahi Hoti Lyrics - Shahbaz Qamar Fareedi
  17. All I Need Lyrics - Sami Yusuf
  18. Allahu Lyrics - Labbayk
  19. Zindagi Ka Bharosa Nahin Lyrics - Shadman Raza
  20. Salat al-Badriyya Lyrics - Talib al Habib
  21. Gunaahon Ki Aadat Chura Mere Mola Lyrics - Owais Raza Qadri
  22. Durood e Ibrahimi Lyrics - Durood Shareef
  23. Follow Muhammad Lyrics - Khaleel Muhammad
  24. Hazir Hain Hazri Mein Lyrics - Dhamani Sisters
  25. Mein Jashn E Aamad E Sarkar Lyrics - Owais Raza Qadri

COMMENTS

Subscribe
Notify of

12 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
12
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x