Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan

By: 

Lut Ke Ayi Hu Mein Nana Jaan Lyrics

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Kiya batoon nana jaan kis kadar huye sitam
Qarbala say Shaam tak har qadam milaye hain gham
Dard ki suno zara azaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Chor kar watan chala par’aye dais kafila
Dard baikasi azee’atoon ka silsila mila
Qarbala jo pohncha karwaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut kay ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Aik roz mein ujar gayi thi aale Mustafa
Bach saka na zulm koi, jo bacha woh sabr tha
Ho raha tha girya o fugha, ghar mera ujar ke rah gaya.

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Bazoo cut gaye firaat per jari daleir kay
Mashaq kiya chiri kay totay honslay bhi sheir kay
Ho gaye Haram bhi bay aaman, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Khak per ragar raha hai airiyaan jawan pisar
Khogayi bisaratay Hussain jab suni khabar
Bein kar rahi hai rokay maan, gher meira ujhar kay rahgaya.

Lut kay aayi houn main nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Meray shair meray ladlay bhi ran mein so gaye
Teen roz kay yeh bhukay piyaasay katal ho gaye
Dasht main tha hashr ka saman, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut key ayi houn mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Haye bay zubaan sheer khuwar bhi na bach saka
Kurmula kay teer say gala jo uska chir gaya
Tash’na lub raha woh bay zubaan, ghar mera ujhar kay rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay rah gaya.

Kiya karoon bayaan nana waqt woh ajeeb tha
Tashna lub Hussain tera kis qadar ghareeb tha
Bhai pay tha sakhat imtehan, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Bade shah jal gaye khayam chin gayi rida
Iss dayar e ghair mein na tha koi bhi asra
Band gayein rasan say bibiyaan, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Rok Safdar E Hazeen qalam kalam say khoon hai rawan
Bint e sayida kay bain say laraz gaya jahan
Jab kaha kay haye nana jaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Nawha Information

Nawha Recited By: Hashim Sisters ( Adeeya Hashim, Mahum Hashim, Saania Hashim )
Location of Reciters: London, UK
Album: Ghamkharan e Sakina 2008 Volume
Written By: Safdar Abbas.


More Islamic Lyrics

  1. Naat by Hazrat Umar ibn Al-Khattab “Al-Faruq” (R.A.)
  2. Allahu
  3. Hazri Abbass Ki
  4. Ramadan
  5. Alwida Alwida Mahe Ramzan
  6. Hope Survives
  7. This Man
  8. Ya Rasul Allah (Part 1)
  9. Shah e Wala Mujhe Taiba Bulalo
  10. Darpesh Ho Taiba Ka Safar
  11. It’s Jumuah “Friday”
  12. My Only Wish (interlude)
  13. 25 Prophets
  14. Fiyyashiyya
  15. Ya Rab Bimarey Kerbobala
  16. Zindagi Ka Bharosa Nahin
  17. Rab Ne Diya Hay Unko
  18. Hear Your Call
  19. Little Girl
  20. Fikr E Iqbal
  21. I’ve Seen
  22. Kya Mahekte Hain Mahekne Wale
  23. Allah Jaanta Hai
  24. Kaash Abbass Na Maray Jaatay
  25. Oh Ali What Has Now Happened

12 thoughts on “Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan”

  1. I have fallen in love with the hashim sisters, i have listened to them in person, they are subhanallah…. do they have their marshiyas and naats on cd which i can buy…if yes please send me the details as to where i can buy them
    shukran

    jazakallah!

    Reply
  2. khob ast wali ha ji larkiyo ki awz agar koi sune ti gunh mai mubtla hojta
    sune wala bhi or suna nany wala bhi nohay aap boht acha parhti hain
    par aap parhe hum ye nahi khty kay aap nohy na parhao par zarori nahi hain kay aap uski vedios ya audios banay…..
    agar apki sada say koi apki tarf jazab hojaye tu gunha dono ki tarf hain….

    Reply
  3. slaam
    app ke nohe boht hi a6e hai ,me ne aj hi app ka noha suna aur me app ka fann ban gaya .your vioce is very cool & sweet .may u  live  long

    Reply
  4. Sub han allah!I am from ladakh nd a big fan of u all not b’cuz of voice bt de way you all recite nohas Is simply mindblowng…,
    I wish all your dreams true and Illahi keeps you and your family safe nd Increase ur Jazba-e-Hussani day by day….Illahi Aameen!
    Salaam Ya Hussain (a.s)!

    Reply

Leave a Comment