Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan Lyrics - Hashim Sisters

By: 

Lut Ke Ayi Hu Mein Nana Jaan Lyrics

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Kiya batoon nana jaan kis kadar huye sitam
Qarbala say Shaam tak har qadam milaye hain gham
Dard ki suno zara azaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Chor kar watan chala par’aye dais kafila
Dard baikasi azee’atoon ka silsila mila
Qarbala jo pohncha karwaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut kay ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Aik roz mein ujar gayi thi aale Mustafa
Bach saka na zulm koi, jo bacha woh sabr tha
Ho raha tha girya o fugha, ghar mera ujar ke rah gaya.

Lut ke ayi hu mein nana jaan.
Ghar mera ujar ke reh gaya.

Bazoo cut gaye firaat per jari daleir kay
Mashaq kiya chiri kay totay honslay bhi sheir kay
Ho gaye Haram bhi bay aaman, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Khak per ragar raha hai airiyaan jawan pisar
Khogayi bisaratay Hussain jab suni khabar
Bein kar rahi hai rokay maan, gher meira ujhar kay rahgaya.

Lut kay aayi houn main nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Meray shair meray ladlay bhi ran mein so gaye
Teen roz kay yeh bhukay piyaasay katal ho gaye
Dasht main tha hashr ka saman, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut key ayi houn mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Haye bay zubaan sheer khuwar bhi na bach saka
Kurmula kay teer say gala jo uska chir gaya
Tash’na lub raha woh bay zubaan, ghar mera ujhar kay rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay rah gaya.

Kiya karoon bayaan nana waqt woh ajeeb tha
Tashna lub Hussain tera kis qadar ghareeb tha
Bhai pay tha sakhat imtehan, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Bade shah jal gaye khayam chin gayi rida
Iss dayar e ghair mein na tha koi bhi asra
Band gayein rasan say bibiyaan, ghar maira ujhar key rehgaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Rok Safdar E Hazeen qalam kalam say khoon hai rawan
Bint e sayida kay bain say laraz gaya jahan
Jab kaha kay haye nana jaan, ghar mera ujar kay reh gaya.

Lut kay aayi hoon mein nana jaan.
Ghar mera ujar kay reh gaya.

Nawha Information

Nawha Recited By: Hashim Sisters ( Adeeya Hashim, Mahum Hashim, Saania Hashim )
Location of Reciters: London, UK
Album: Ghamkharan e Sakina 2008 Volume
Written By: Safdar Abbas.


More Islamic Lyrics

  1. Ya Rasul Allah (Part 1) Lyrics - Sami Yusuf
  2. Kankar Se Kalma Parhwao Phir Kehna Hum Jaise The Lyrics - Naat Lyrics
  3. Mohammed Ke Shaher Mein [Part 2-3] Lyrics - Aslam Sabri
  4. Mercy to Mankind Lyrics - Native Deen
  5. Ya Rab Meri Soi Lyrics - Farhan Ali Qadri
  6. Rahman Ramazan Lyrics - Aamir Liaquat
  7. Trials Of Life Lyrics - Sami Yusuf
  8. Sepanjang Hidup Lyrics - Maher Zain
  9. Wah Kiya Joodo Karam Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  10. So Soon Lyrics - Maher Zain
  11. Aagaya Hai Lyrics - Labbayk
  12. Panaah Lyrics - Fez Meghani
  13. Naat by Hazrat Abu Bakr “Al-Siddiq” (R.A.) Lyrics - Old Lyrics
  14. You Came To Me (Turkish) Lyrics - Sami Yusuf
  15. Nabi Ki Naat Mein Padh Lun To Koi Baat Nahi Lyrics - Naat Lyrics
  16. Wherever You Are Lyrics - Sami Yusuf
  17. Allahu Lyrics - Nader Khan
  18. Mera Asghar Kafi Hai Lyrics - Shahid Baltistani
  19. Rabbee Yebarik Lyrics - Maher Zain
  20. Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Lyrics - Owais Raza Qadri
  21. Salaam Lyrics - Sami Yusuf
  22. Ay Shaam E Gharibaan Lyrics - Mesum Abbas
  23. Wedding Nasheed Lyrics - Labbayk
  24. Pukara Dilsay Kisi Ney Lyrics - Dhamani Sisters
  25. Ya Hanah Lyrics - Hamza Namira

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

12 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
12
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x