Faslon Ko Khudara Mita Do

By: 

Faslon Ko Khudara Mita Do Lyrics

Faslon ko khudara mita do
Rukh say parda, ab apne hata do
Apna jalwa, kisi main dikha do
Jaliyon per nigahein jami hain.

Gous ul Azam ho, Ghouse ul Wara ho
Noor ho noor salle ala ho
Kiya bayan aapka martaba ho
Dastageer aur mushkil kusha ho
Aaj deedar apna kara do.

Jaliyoon per nigahein jami hain…

Wajd main aaye ga sara aalam
Jab pukarein gay, Ya Ghous e Azam
Woh nikal aayein gay jaliyoon say
Aur kadmoon main gir jayein gay hum
Phir kahein ge, ke bigri bana do.

Jaliyon per nigahein jami hain…

Shidat e gham say, ghabra gaya houn
Ab to jeenay say tang aa gaya houn
Har taraf app ko dhoundta hoon
Aur eik eik say yeh phuchta hoon
Koi paigham ho to bata doon.

Jaliyoon per nigahein jami hain…

Aik mujrim siyah kar houn main
Har khata ka saza war houn main
Meray charoon taraf hai andhera
Roshni ka talab gar houn main
Eik diya hee samajh kay jala do

Jaliyon par nigahein jami hein…

Fiqr dekho khayalat dekho
Yeh aqeedat yeh jazbat dekho
Main houn kiya meri auqat dekho
Samnay kiski hai zaat dekho
Aie Adeeb apnay sir ko jhuka do

Jaliyon per nigahein jami hain
Jaliyoon par nigahein jmi hain

Faaslon ko khudara mita do
Rukh say parda, ab apne hata do
Apna jalwa, kisi main dikha do
Jaliyon per nigahein jami hain.


More Islamic Lyrics

  1. Jab Gumbad e Khazra Pe Woh
  2. Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar
  3. Ramadan Is Here
  4. Duas from Quran
  5. Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho
  6. Wah Kiya Joodo Karam
  7. Hoon Mein Nadim Gunahoon Par Ya Rab
  8. Ya Mustafa Ata Ho
  9. Ishq Kee Intiha Syeda Fatima
  10. Inquilab Inquilab
  11. Koay Nabi Se Aa Na Sake Hum
  12. Wherever You Are Lyrics (ACOUSTIC – ARABIC)
  13. Day of Eid
  14. Kalma Sharif
  15. Naat by Hazrat Aisha Siddiqa “Umm al-Mu’minin” (R.A.)
  16. Sabke Hain Muhammad
  17. Special
  18. Mein Tere Samne
  19. No One Knows But Me
  20. [Rabbee] I’m Yours
  21. Aaj Duniya Main Khair-ul-Wara Agaey
  22. Morning Prayer
  23. Har Taraf Anwaar Ki Barsaat Hai
  24. Ey Hasnain Ke Nana
  25. Kya Bayaan Azmatein Houn Teri Shaha

31 thoughts on “Faslon Ko Khudara Mita Do”

  1. mashallah, aap ki awaz mujhe bohat achi laghti hai or main bhi aap ki tarhan naat khawan banha chaati hoon, mashallah, subhanallah, bless you!!

    Reply
  2. MASHALLAH. AM FAN OF U.
    apki awaz bohut pyari hy. i liked ur naats.
    mainy kuch din he pehly apki naat suni
    apki awaz bhout pasand ae aur naat bhi bohut achi the ab main razana apki naats sunta houn.
    GOD BLESS U AND UR FAMILY ALSO.

    Reply
  3. subhan allah
    mai app ki awaz ko qaid me rakhta ho bahut khub kalam ke sath yeh awaz bahut bahut khubsoorat hai khuda app ki awaz ko aasye hi banayee rakhee

    Reply
  4. huria main rgular subha ap ki naatain sunti hun bohat sakoon milta hy ap pr khuda ki khas rahmat hy mashaallah humaira kokab

    Reply
  5. Allah kare ki app salamat rahe aur hum sab ko aap ki meethi awaaz sunnati rahe ur voice & u are soooooooooooooooooooooooooooooo good, best, great.(mashallah)

    Reply
  6. bohat pyari awaz di hai khda nay ap ko khud ko gharoor say bachaye ga hamesha or us rab ka shukar ada karty raha karay k ap ki wajhay shohrat naat kohwani hai…………HAFIZ SAMREEN ZAIB QUETTA

    Reply
    • it’s not a naat, it’s a manqabat in the shaan of ghause pak.
      Naat is in the shaan of the holy prophet Mohammed Salalahu Alaiyhi Wasalam

      Reply
  7. مجھ کو پروازکےپرلگادوغوث اعظم جالیوں پر نگاہیں جمی ہیں

    Reply
  8. MASHALLA! I have heard this Manqabat by Hafiz Tahir Qadri on Youtube and he has modified the nazam a little bit and his sound is beautiful. You guys should listen to it!

    Reply

Leave a Comment