Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon

By: 

Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics


Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,
Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem
Takkat ho deed ki to taqaza kare koi

Ilahi teri chokhat per bhikari ban ker aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai,
Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai,
Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker.

Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker,
Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,
Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda,

Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,
Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.

Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,
Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,
Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.

Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon
Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,
Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon.

Lyrics & Video Information:
Artist: Junaid Jamshed
Video Title: Multazim Par
Kalaam By: Mufti Taqi Usmani
Album: Jawa-e-Janaan


More Islamic Lyrics

  1. Only Fear Allah
  2. Inquilab Inquilab
  3. Peace
  4. Tamanna
  5. Hye Hum Yateem Ho Gaye
  6. Huzoor Jante Hain
  7. I’m Your Hope
  8. Aye Shaam Terey Bazaaron Se
  9. Muhammad (PBUH)
  10. Ghar Lut Gaya
  11. Day of Eid
  12. Barakah
  13. Terengganu
  14. Asmaa Al-Husna
  15. Open Your Eyes
  16. Tu Shah e Khubaan Tu Jaan e Janaan
  17. Sarkar Kay Dar Per Jaaoon
  18. Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho
  19. Dard e Dil Chahiye Chashm e Tar Chahiye
  20. Praise & Glory
  21. Generous Peace (Arabic)
  22. All I Need
  23. Saday Wal Sohniyan
  24. Dryer Land
  25. Aaj Ashk Mere Naat Sunain

341 thoughts on “Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon”

  1. mashallah this naaat is very touching and thanks for loading this up i reall enjoyed reading and listening to it and could you put even more better one up please

    Reply
  2. Assalamualaikum…Alhamdulila very pleasent to heart touching Hamad. Allah Pakistan ki aur Pure Dunia ke Momin Musalmanu ki Madat aur Hifazat Farmaa..Allah Junaid Jamsheed Bhai Aur Pure Team ko Hidayath ka Faisala Farma…
    Ameen

    Reply
  3. Masha Allah … Very nice heart touching dua. May Allah bless Mufti Taqi Usmani and Junaid Jamshed with their team with success, prosperity and good health. We will be waiting for other releases. May all of ours wishes come true by these dua. Allah Hafiz

    Reply
  4. Allah ka jitna shukar kary kam hai k us nay aap ko itni pyari naat parhny ki toufiq ata ki. Allah aap ko apni aman my rakhy.

    Reply
  5. Subhan Allah. These words of toba are from the bottom of heart.May god bless Mufti Taqi Usmani.He presented the reall feeling of a Muslim when he go to the Kaba.

    Reply
  6. Loved This Naat, Nearly Brought Tears tO my Eyes As i read the Last Couple Of Lines…
    “Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
    Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.”
    :(
    Beautifull Mash’Allah

    Reply
  7. Mashallah! what a beautiful and heart touching hamd! subhanalla!i love this hamd very much!!!!!!!!!!!!!and thankyou for uploading this

    Reply
  8. A.O.A
    subhanallha ye naat buhat achi hy jo dill ki gehrayoon main uther jati hy. Allah humain isy smjny ki tofeek ata frmaye…… Ameen

    Reply
  9. main boht mushkil main hon samajh nahi aati kya karon allah ki azmaish hay shaid ya kismat ya apni hi kohi galati ki saza 3 bachay hain meray main boht preshan hon aap batain main kya karon

    Reply
    • Assalam O Alikum

      Shazia Baji app tahajjud or chasht ki namaz ki pabundi karain or baki tamam namazon ki b or koshish karain apne husband ko kahin ke wo jamat main jurtna start kerdain or allah ke agayee girgira ker apne gunahaon ki mafi mangain

      wese jahan tuk mera dil or demagh gawahi deta he k pereshani usi per atti he jo allah ke bohat kareeb hota he

      Reply
    • dunya key kisi insaan sey madad leney ki bajai sirf Allah sey madad lein. sirf Allah ko pukarein.her waqt yeh perha karein
      " Allah-o-Allah-o-Rabbi la ushriko bihi shai aa"
      apna full eemaan Allah per rakhein
      Allah aap ki mada farmai
      Aameen

      Reply
  10. I recited this WONDERFUL naat in milad nd vry one appreciated me alot.. And I love ur voice and the lyrics.. And i want more and more ANd more naats 4rm uuuu…..

    Reply
  11. Alhamdulilah…
    masha allah…
    Subhan allah….
    the dua is very awesome and its very heart trending…..
    may i knw ur e-mail id please if u dont mind….
    dua ki darkhwasth karti hoon….
    Jazak allah….

    Reply
  12. it made me cry when i heard that naat with a awsum lovely voice obviously i think junaid jamshed had sing that naat or nasshed with a nice feelings and iymaan may god bless him
    what a nice voice

    Reply
  13. ye ALLAH PAAK KI MEHARBANI HAI AP PER OR TAMAAM MUSLIM UMMAT PER K HUMARE ANDAR DEEN KA JAZBA OR MUHABBAT KO ZINDA REKHA HOA HAI …BHAI JUNAID BUS YE SAMAJHLAY K APKI ZUBAAN KA ISSE BEHTAR ISTEMAAL NAI HOSAKTA THA…. ALLAH APKO MJHE OR TAMAAM INSANIAT KO DEEN KI SAHI SAMAJH ATA FARMAYE… AMEEN

    Reply
  14. Zazakallahu khairan. I would highly appreciate if some kind heart can translate these lyrics in english please . since we do not understand urdu,ur kind contribution towards translating these priceless lyrics shall elevate ur status in hereafter, because the real meaning shall make the sinners hearts real soft to shed tears in being embarrassed in front of the All Mighty Allah and make the person to run towards Allah (SWT) in repentance. Zazak Allahu Khairan.

    Reply
  15. yesterday he came to our uni and read his hamd or naat dont know the exact word it was just a treat to hear him live..and his biyaan was so good it was my first time that i listened a bayaaan but i loved it..whole of auditorium was filled…Junaid Jamshed also cracked some jokes..it was a nice experience

    Reply
  16. sir ap ki hamad waqe hi bohat khubsoorat hai or meri ami ko khastor per bohat pasand ai hai
    thnx for making such a beautiful hamad

    Reply
  17. Sir ur hamd is really really nice & beautiful. And the way u changed ur self was amazing and was a
    fantastic example……….:-)

    Reply
  18. subhan ALLAH.We All MUSLIMS should b united on brotherhood and search the purpose of our lives………………….

    Reply
  19. mashalah naat ki tareef lafzo ma bayan nahi karsakta or ya naat aik gazba ogagar karti ha ka ao or apna rab ka aga bikhari ban gao

    Reply
  20. assalam o alakium
    its a great Hamd … belive me it makes me cry always.. and think over what I am …

    may ALLAH forgive all of us… bless us ameen :)

    Reply
  21. Assalaamualaikum, SUBHAN-ALLAH Beautiful naat with a wonderful meaning.If understand its much precious if only listened then its just a naat. words in these naat had described the heartly prayer of an ordinary muslim to Almighty ALLAH.These is the second naat which i liked the most 1st one is “jalwa-e-jaana…..” by Junaid bhai, these are outstanding NAATS.I prefer all my brothers n sisters to listen these 2 naats once.

    Reply
  22. My most respected brothers and sisters…. please note that this is type of poetry is called “Nasheed”

    “Naat” : by definition means a poetry in the honor of our Nabi Hazrat Muhammad Mustafa (S.A.W.)
    “Hamd” : by definition means a a poetry in the thank fullness / honor of Allah Ta’ala

    Reply
  23. Mashalla , Subhanallah, Jazakallah for loading the lyrics. 
    May Allah tala give Jaza-e-Khair to Mufti sahab.
    May Allah tala accept all our deeds and forgive our sins. Ameen

    Reply
  24. mashallah junaid bhai apki awaz main bahut taseer allah apki awaz ko sari duniya main phaylay aur apki awaz ko hidayat ka zarya banaye ammen

    Reply
  25. Asslam o Aliakum :- Junaid Bhai….ALLAh Paak ne apko hadayt dy di hy ye bht khushi ki baat hy oe aizaz ki b…kyun k ALLAh pak os shakhs ko hadayt daty hen jo ALLAh Pak ko Pasnd ho…..BS ALLAH Sy Dua kr dijye ga ALLAh pak hmein b hadayt dy dein….Or apni ZIndgi Islaam K mUtabik guzarny Wala bna dein…(AMeeen)

    Reply
  26. mashallah junaid uncle mujhe ye naat boht pasand hai or meri skool main naat competition ho raha hai jis ke liye main yeh naat choose ki hai app dua kijye ki mujhe is main first position mile app ko allah ne chaha tou achhai ki taraf le aye aamen

    Reply
  27. ssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssssoooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo gggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggggoooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooodddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddd

    Reply
  28. oh ……i was going to do this but my teacher told me itz a ham’d so i did SALUH-ALAI-HAI-WAA-AALI-HI (itz a naat )….and took second position…..

    Reply
  29. masha allah allah aap ko ye naat mashoor kerne ki jaza ata farmai, jamshed bhai well done hum sub allah ke samne bikhari hein.

    Reply
  30. this is very sweet and beautiful naat and is ko dekh kar asoo aneay lagteay hain agar koi namaz nahi parhta to wo is ko dekh kar namaz parh leay ga

    Reply
  31. oh….mere Bhai ye naat nahi Hamad hai….is me Allah k se manga ja raha hai plz naat or Hamad me difference samjha Karo naat me hazrat Muhammad ki tareef byan hoti hai jab k Hamad me Allah tala ki

    Reply
  32. ye dua hy not naat and ya allah sab ko apni hiffazat mein rakhy aur sab ki pareshanion ko dor rakhy aur kushiyon sy navazy
    ammen

    Reply
  33. i love this naat veryyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy much. it is really veryyy loveeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeelyyyyyyyyyyyyyyyy naat.

    Reply
  34. MA SHA ALLAH awesome line which can make every1 cry
    n its not dua or naat it manajath by urdu grammmer
    naat:which tells about prophet muhammad [S.W.A]
    dua:which only pray to ALLAH
    manajath:in manajath we express our sins and weekness behind ALLAH n ask forgiveness from ALLAH. :)

    Reply
  35. Is ko ap kalam keh len to behtar hai! ya ap is ko Munajaat ya Istagasaa ki category me le lo! Naat only Praise Prophet Muhammad Sallallah Alaihy Wassallam

    Reply
  36. it is a very nice nasheed however I have a request plz could you download the lyrics of woh mera nabi mera nabi hai I would appreciate it a lot if you did so
    jzk……

    Reply
  37. subhanAllah this naat touched not even my heart but also my lil 4 months niece she sleeps when she hears this naat and sleeps peacefully

    Reply
  38. Its beautiful. It seems that this duwa can fit to many people, we must memorize and have the feeling of absolute lowness in front of Allah and beg his forgiveness like a beggar. The wording are very meaningful, I pray that Allah may shower his special blessings upon the people involved in writing, composing, reciting this special kind of duwa.

    Reply
  39. इन्नालिललाही वइन्ना इलैही राजिऊन
    अल्लाह पाक उन्हें (जुनैद जमशेद भाई को) जन्नत में हुजूर सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के घर के पास घर अताअ करे ;आमीन

    आप दोस्त मो.वसीम आलम उसामा
    इण्डिया से

    Reply
  40. Subhan ALLAH ALLAH PAK Junaid bhai ko jannat mei aala makam ataa kre ..Ameen asal mei unke Jane k baad hi achi tarah mehsoos kia ja sakta hai is naat ko.

    Reply
  41. Subhan ALLAH ALLAH Pak Junaid bhai ko Jannat mei aala makam ataa kre ameen…. Asal mei unke Jane ke baad hi is naat ko achi tarah mehsoos kia ja sakta hai

    Reply
  42. Very beautiful hamd
    Allah taala Junaid uncle ko jannat me aala muqaam se nawaze
    Allah taala aap k darjaat buland kre

    Miss u a lot Junaid uncle

    Reply
  43. Masha Allah… Boht aala, mere dill ki Sachi tarjumani to ho gai ye kalaam sun Kar… Boht sukoon hasil hota Hai jab bhi ye kalaam sunti hun to…

    Reply
  44. Yai naat bht zyada khobsorat hai or maere school mai naat compition bhi hi ran hai mai us competition mai yai naat parhnai wali hoon umeed hai kai achi parhon sub sai guzarish hai kai maere lyai dua kren kai mai yeh compitition jeet jaon plz.

    Reply
  45. Dear brothers and sisters, this is Hamd and not Naat.
    The poetry is amazing and the singer, may Allah forgive his sins (ameem), did justice to it with his voice.

    Reply

Leave a Comment