Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics
Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,
Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem
Takkat ho deed ki to taqaza kare koi
Ilahi teri chokhat per bhikari ban ker aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai,
Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai,
Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker.
Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker,
Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,
Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda,
Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,
Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.
Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,
Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,
Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.
Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon
Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,
Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.
Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon.
Lyrics & Video Information:
Artist: Junaid Jamshed
Video Title: Multazim Par
Kalaam By: Mufti Taqi Usmani
Album: Jawa-e-Janaan
Masha Allah… Boht aala, boht sukoon milta Hai jab bhi ye kalaam sunti hun to…
Waqaye bohot he awllaa qalam ha ajizana air behtreen.
Yai naat bht zyada khobsorat hai or maere school mai naat compition bhi hi ran hai mai us competition mai yai naat parhnai wali hoon umeed hai kai achi parhon sub sai guzarish hai kai maere lyai dua kren kai mai yeh compitition jeet jaon plz.
Don’t worry be trust on your self on GOD he will help you and you will take First Position IN SHA ALLAH
Master piece may his soul rest in peace god bless him miss him soo much😢😢😢😢
Mashallah magnificent beauty(kaLam) ,beyond limits.
Masha Allah beautiful naat
Mashallah Very Nice Naat I Love Junaid Khan
ما شاء الله I MISS Junaid Jamshed (Naat Khawan)
Yeh naat sab se khabsorat hai
I love junaid jamshed naats masallah
Very good nasheed. Insha Allah the developers of this naat will be at Jannah. Hats off to Junaid Jamshed
Dear brothers and sisters, this is Hamd and not Naat.
The poetry is amazing and the singer, may Allah forgive his sins (ameem), did justice to it with his voice.
I love this naat but I am very sad for junaid jamshed
Masha Allah so beautiful naat
who is the lyrics writer of this song? Jumaid Jamshed or Mufti Usmani?
May be Mufti Taqi Usmani Shaheeb.
One of the best Islamic Song, indeed good job. Thanks.
This is very beautyful naat MASHAALLAH
This is very beautyful naat MASHAALLAH
JUNAID JAMSHEED is very beautyful person
Mashallah bohat khobsoorat naat ha