Tamanna Lyrics
Tamanna Muddatau Sai Hai Jamaal-e-Mustafa Daikhoun Imaam-ul-Ambiya Daikhoun, Habeeb-e-Kibriya Daikhoun
Wo Jin Kai Dam Qadam Sai Subh Nai Bhi Roshni Paayi Munawwar Kar Diya Jis Nai, Faza Wo Rehnuma Daikhoun
Wo Jin Ki Barkato Sai Abr-o Baara Bastai Aalam Mai Tamanna Qalb-e-Mudhtar Ki Wo Durre Bai Baha Daikhoun
Qadam Baahir Madinah Sai Tasawwur Mai Madinah Hai Ilaahi Ya Ilaahi Azmato Ki Intiha Daikhoun
Yai Dunya Bai Thubaat-o Bai Wafa-o Gham Ka Gehwaara Yai Hai Matloob Daare Bai Wafa’i Mai Wafa Daikhoun
Tamanna Muddatau Sai Hai Jamaal-e-Mustafa Daikhoun
Wo Mabda Khalq-e-Aalam Ka Durood Un Par Salaam Un Par Maire Maula Yai Mauqa Dai Ke Khatm-ul-Ambiya Daikhoun
Kabhi Ho Husn Ki Mehfil, Kabhi Ho Shauq Ka Manzar Kabhi Aasu Ki Zanjeero Mai Aashiq Ki Sada Daikhoun
Rasool-un-qaasim-ul-khayra-ti-fid-dunya-wa-fil-‘uqba
Shafeeqaz Nafs-e-Maadar Maa Nabi-e-Mujtaba Daikhoun
Dar-e-Jannat Pai Haazir Ho’u Rasool-e-Paak Kai Ham Raah Shafaa’at Ka Yai Manzarya Khuda Ya Mai Raza Daikhoun
Tamanna Muddatau Sai Hai Jamaal-e-Mustafa Daikhoun Imaam-ul-Ambiya Daikhoun, Habeeb-e-Kibriya Daikhoun
May I please now who is the auhtor of this kalaam?
It is Tahmid
Masha-Allah! listen to it on you tube it’s beautiful and sweet. bless Tahmid (nasheed singer) in janatuh-tul-firdus. AAMEEN
Feb17amsgarda I am in love with this nasheed, so bfautieul, i dont think i would ever have enough ot this nasheed with this bfautieul voice. May allah bless you and may all the duas in this nasheed be accepted too