Ay Shaam E Gharibaan

By: 

Ai Shaam E Gharibaan Lyrics

Jab karbala ki shaam mei koyi nahi raha, Ai shaam-e-gharibaan
mazloom-e-karbala ka sar tan se tha juda ai shaam-e- gharibaan
Khaak urh rahi thi khaymo mei, zainab thi berida ai shaam-e-gharibaan
rone ki pit ne ki aati rahi sadaa ai shaam-e-gharibaan
(Ai shaam-e-gharibaan) x6

1. (Haay fatema zahra ka bharaa ghar ujar gaya) x2
(Pyaase tarap rahe the darya karib tha) x2
Khaymo se aag bhar ki to ek shor sa utha
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

2. (Haay karbala ki shaam ka manzar ajib tha) x2
(Ran me pare thay bikhre haay laash jabajaa(n)) x2
Ro roke kehrathi ye khaak-e-karbala ai shaam-e- ghariba
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

3. (Khaymo mai ashkiya hai charaaga kiye huwe) x2
(Wo fatema ke dar ko hai veera(n) kiye huwe) x2
Sibte rasool paak ka khayma jalaa huwa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

4. (Koyi nahi jo zainab-e-muztar ka saath de) x2
(Pyaase yateem bacho ke koi sar pe haath de) x2
Har simt aa rahi thi al-atash ki eik sadaa
(Ai shaam-e- ghariba) x4

5. (Karbobala mei lut gayi nana duhayi hai) x2
(Be gor-o-kafan ran me mera pyaara bhaayi hai) x2
Haay dasht nainawaa mai zainab ne ye kahaa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

6. (Sajjad gham ye bhulna paayenga umr bhar) x2
(Sayyedaniyo(n) ke sog manayenga umr bhar) x2
Aankho se ashk khu(n) ke bahayenege ab sadaa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

7. (“Mesum” ye kaisi shaam karbal mei aayi hai) x2
(“Irfan” roke de rahi zainab duhaayi hai) x2
Pyaasa gala hussain ka khanjar se kat gaya
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

Pakistani Urdu Noha Information:
Nawha Reciter: Mesum Abbas
Album: Mesum Abbas 2008 Volume
Note: Dedicated to our Shia Brothers & Sisters.


More Islamic Lyrics

  1. Ameer Bhi Hai Ghareeb Bhi
  2. Mawlaya
  3. Qasim Di Mehndi Agae
  4. Ignorant Minds
  5. Your Beauty
  6. Allah Allah Nabi Ka Gharana
  7. Ya Rab Hai Bakhsh Dena
  8. Ahad – The Story of Bilal
  9. Allahu
  10. Insha Allah
  11. Give The Young A Chance
  12. Subha Taiba Mein Hui
  13. Muslimano Karo Khushiya Muhammad Mustafa Aaya
  14. Aaqa
  15. Makes Me Crazy
  16. Terengganu
  17. Morning
  18. Pukara Dilsay Kisi Ney
  19. Qasida e Mairaj for Shab e Meraj | Shabe Miraj
  20. Wo Jo Haal e Khasta They Hausley
  21. Pak Sar Zameen Shad Bad
  22. Har Taraf Anwaar Ki Barsaat Hai
  23. Muhammad (Peace be upon him)
  24. Allahu
  25. Tauba Qabool Ho

1 thought on “Ay Shaam E Gharibaan”

Leave a Comment