Dua e Ali (AS)

By: 

Dua e Ali (AS) Lyrics

Ya habibi ya Hussain

(Sakhi Abbas Jari Ya ilaahi mujhe de) x2

1. Ek jari chaahiye taarike shujaa’at ke liye
Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye
Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

2. Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye
Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe
Baad iske meri bas ek dua ke badle
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

3. Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera
Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera
Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

4. Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye
Iltaja behre madad apni zabaan par laye
Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

5. Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me
Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me
Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

6. Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho
Koi umeed na toote koi be aas na ho
Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

7. Mere maalik mere honthhon pe jab aayi ye dua
Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala
Mera Shabbir musibat mein kharaa hay tanhaa
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

8. Jab woh karbal mein ho chawbhees pehel ka pyaasa
Har kadam par use isaar ka jazba dena
Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

9. Ay “kaleem” hogayi maqbool duaa-e-Haidar
Usko “Mesum” kaha hai Fatema Zehra ne pisar
Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Pakistani Urdu Noha Information:

Nawha Reciter: Mesum Abbas
Album: Mesum Abbas 2008 Volume
Note: Dedicated to our Shia Brothers & Sisters.


More Islamic Lyrics

  1. Allah Ke Huzoor Mein Sar Ko Jhuka Ke Dekh
  2. Saday Wal Sohniyan
  3. Ya Rabbi Ya Rahman
  4. Zameen Maili Nahi Hoti
  5. An Nabi Sallu Alai [Part 1-2]
  6. A Child’s Prayer
  7. Ramadan
  8. Jab Gumbad e Khazra Pe Woh
  9. Aye Shaam Terey Bazaaron Se
  10. Wo Charag e Deen e Muhammadi
  11. Ramazan (Turkish – Türkçe Version)
  12. Provu Tumi Amari
  13. Land of Revelation
  14. Prayer to Allah
  15. Fikr E Iqbal
  16. Look Into My Eyes
  17. Du’a
  18. Never Forget
  19. Freedom Will Come
  20. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
  21. Aie Mahe Ramzan Alwada
  22. I Love You So
  23. Eid Mubarak
  24. Lab Pe Naat e Nabi Ka
  25. Haser Hesarak

24 thoughts on “Dua e Ali (AS)”

  1. Salaam Alaikum to all my Shia brothers, I am a hindu from India, I cried while listening to this Nawha remembering the greatest sacrifice made at Karbala. I was so moved on listening to this that i am writing this message to all my brothers and sisters of all religions that May the Light of God Shine upon you all and keep you away from sins, May God shower you with his blessings always.

    Greetings from India

    Khuda Haafiz

    Reply
  2. Iam so happy to know a hindu person listening to shias nuha, thank you for yor sweet comment Bhanu
    and god bless you mesum abbas

    Best Regards
    Fatima Manshad
    From :kingdom of Bahrain

    Reply
  3. mere hazrat ka koi noha mujhe dikh jaye mere akho ka woh ek noor nazar aa jaye unke bare mujhe kuch bhi pata chal jaye ya ilahi mere na aasoo kabhi ruk paye jab pata chalta hai meesum ne likha hai usko * 2

    Reply
  4. Mashallah ……mola aapko Salamat rakhe…..or aapko aisi nohey padhne ki taufeq aata kare…….aap jo nohey padhte hai vo dard k sath or matam karte huwe padhte hai dusre noha khwan ki tarha styles me nai padhte….so I like ur simplicity…….😊😊…khuda Hafez

    Reply
  5. MAULA IS NAUHEY KE SADQE MEIN MUJHE BHI EK BETA ATA KARDEY JO GHAZI ABBAS KA SIPAHI BANAEY OR HUSSAIN AS MAULA PE APNA LAHU FIDA KARDEY …ILAHI AMEEN😭😭😭😭😭😭😭😭😭

    Reply

Leave a Comment