Dua e Ali (AS) Lyrics - Mesum Abbas

By: 

Dua e Ali (AS) Lyrics

Ya habibi ya Hussain

(Sakhi Abbas Jari Ya ilaahi mujhe de) x2

1. Ek jari chaahiye taarike shujaa’at ke liye
Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye
Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

2. Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye
Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe
Baad iske meri bas ek dua ke badle
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

3. Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera
Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera
Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

4. Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye
Iltaja behre madad apni zabaan par laye
Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

5. Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me
Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me
Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

6. Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho
Koi umeed na toote koi be aas na ho
Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

7. Mere maalik mere honthhon pe jab aayi ye dua
Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala
Mera Shabbir musibat mein kharaa hay tanhaa
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

8. Jab woh karbal mein ho chawbhees pehel ka pyaasa
Har kadam par use isaar ka jazba dena
Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

9. Ay “kaleem” hogayi maqbool duaa-e-Haidar
Usko “Mesum” kaha hai Fatema Zehra ne pisar
Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Pakistani Urdu Noha Information:

Nawha Reciter: Mesum Abbas
Album: Mesum Abbas 2008 Volume
Note: Dedicated to our Shia Brothers & Sisters.


More Islamic Lyrics

  1. O’ My Lord Lyrics - Labbayk
  2. Aaj Duniya Main Khair-ul-Wara Agaey Lyrics - Milad Raza Qadri
  3. Healed Lyrics - Gaith Adhami
  4. Mabrook (English Malay Version) Lyrics - Irfan Makki
  5. Number One For Me Lyrics - Maher Zain
  6. Jashn e Millad Lyrics - Syed Ikram Akbar Bukhari
  7. Welcome to Madinah Lyrics - Khaleel Muhammad
  8. Aye Mere Asghar E Bezubaan Lyrics - Irfan Hussain
  9. Aa Gaey Sarkar Lyrics - Farhan Ali Qadri
  10. Unki Kiya Baat Hai Lyrics - Waheed Zafar Qasmi
  11. Jeena Hain Mushkil Lyrics - Ahmad Hussain
  12. Dam Hama Dam Ali Ali Lyrics - Milad Raza Qadri
  13. Ya Rab Hai Bakhsh Dena Lyrics - Owais Raza Qadri
  14. Main Naukar Hoon Shah-e-Madina Ka Sunlo Lyrics - Hafiz Ahsan Amin
  15. Hasbun’ Allah Lyrics - Zain Bhikha
  16. Without You Lyrics (ACOUSTIC – ARABIC) Lyrics - Sami Yusuf
  17. Ya Ali Ya Hussain Lyrics - Nadeem Sarwar
  18. To Guide You Home Lyrics - Sami Yusuf
  19. Allahu Lyrics - Irfan Makki
  20. Home Lyrics - Raef
  21. That Moment He Smiled Lyrics - Zain Bhikha
  22. Ya Maula Ali (AS) Lyrics - Mesum Abbas
  23. Free Lyrics - Zain Bhikha
  24. Allah, what a mighty heart Lyrics - Voices Of Passion
  25. Ghar Lut Gaya Lyrics - Mesum Abbas

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

24 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
24
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x