Naat Sarkar Ki Parhata Hoon Mein

By: 

Naat Sarkar Ki Parhata Hoon Mein Lyrics

 

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi
Ik tera naam waseela hey mera
Ranjo o gham main bhi isi naam say rahat hogi

Yeh suna hai kay bohat gaur andheri hogi
Qabr ka khauf na rakhna aie dil
Wahan sarkar kay chehray ki ziarat hogi

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Kabhi yaseen kabhi tauha kabhi walail aaya
Jis ki kasmein mera Rab khata hai
Kitni dil kash meray mehboob ki surat hogi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Hashar ka din bhi ajab dekhnay wala hoga
Zulf lehra kay woh jab aayein gay
Phir qayamat pay bhi khud aik qayamat ho gi

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Un ko mukhtar banaya hai meray Allah nay
Khuld main bas wohi jaa sakta hai
Jisko Hasnain kay nana ki ijazat ho gi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Do jahan main usay phir koun panah main lay le ga
Ho ga ruswa wo sar-e-hashr jisay
Syeda Zahra kay bachoon say adawat hogi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Unki chokhat pay pare hain to bari mauj main hain
Laut kay aayein gay jab us dar say
Meray dil tu hi bata kiya teri halat ho gi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Rushk say dur kharey dekhtay houn gay Zahid
Jab sar e hashr gunahgaroon par
Meray aaqa ka karam ho ga inayat ho gi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…

Mera daman to gunahoon say bhara hai Altaf
Ik sahara hai kay hum teray hain
Isi nisbat say sar e hashar shafa’at ho gi.

Naat sarkar ki parhata hoon mein
Bus isi baat say ghar main meray rehmat hogi…


More Islamic Lyrics

  1. Mere Maula
  2. Mawlaya
  3. Mera Asghar Kafi Hai
  4. When I Grow Up
  5. Allah is Calling You
  6. Forever Palestine
  7. Aur Sham E Gharibaan
  8. Shab E Tareh
  9. Children of the World
  10. Your Beauty
  11. I Love You So
  12. Subhanallah
  13. Karam Mangta Hoon
  14. Mujh Pey Be Chashme Karam
  15. Ghar Lut Gaya
  16. Every Beat Lyrics (Arabic & French)
  17. Alhamdu Lillah
  18. Naat by Hazrat Abu Bakr “Al-Siddiq” (R.A.)
  19. Ya Maula Ali (AS)
  20. Amma Nee Amma
  21. Never Forget
  22. Fiyyashiyya
  23. Oh Lord
  24. Meditation
  25. Ramzan Hai Allah Ki Qurbat Ka Mahina

75 thoughts on “Naat Sarkar Ki Parhata Hoon Mein”

  1. Masha Allah Bahut hi aché naatein hein . Buhut soukoon milta hein jab aap ki natein ko sounti houn. Keep ti
    Islam ka bol bala ho
    Sister nazlee

    Reply
  2. I wann'a say you that jab aap naat padhte hai to bina music ke padha kare plz because jab itni achchi voice hai to without instrument ke padha kare

    Reply
  3. subhaan allah, great great n great ,no words how to honour him. naat sounte waqt eisa lagta hein ke aap [S A W] hamare samne khara hein.
    naat parte raho rasulallah ko yaad karte raho.
    YAA RASOOLALLAH! SOUN LIJIYE MERI FARYAAD KO
    KON HEIN JO TERE SEWA SUNEY MERI PUKAR
    SUMMA-AMEEN

    Reply
  4. subhanallah KYA BAT HE QURBAN JAO ?

    KYA AVAZ HE ?
    Q KE KOI B CHIZ MERE SARKAR KI TARIF ME HOTI HE WOH JUBAN SE NAHI DIL SE BOLTI HE ?

    Reply
  5. Maa Shaa Allah you have a amazing voice every time i listen to this one i go into a trans come to leeds west yorkshire lots of fans this way

    Reply
  6. little mistake sir in milad raza qadris sahab naat recitation he recites…
    ‘Ye suna hain ki bahot qabr andherii hogi…..’
    please make a correction asap.

    Reply
  7. Masaallah kiya naat ha♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥

    Reply

Leave a Comment