Tera Naam Virde Zubaan Rahay

By: 

Tera Naam Virde Zubaan Rahay Lyrics

Tera naam virde zubaan rahay, meri aur koi dua nahin
Mujhay apnay dar ki bheek day, kay teray khazanay main kiya nahin.

Ho karam nawazi huzoor ki, meray ghamkaday mein bhi aa kabhi
Meray chara ghar aie meray nabi, mera koi teray siwa nahin.

Yeh teray Niyazi ki eid hai, abhi aur hasratay deed hai
Isay choom lenay do jaliyaan, abhi dil to iss ka bhara nahin.

Rukhay mustafa hai woh aaina kay ab aisa dusra aaina
Na hamari bazmay khiyal mein, na dukanay aaina saaz mein.

Tera jalwa paishay nazar rahay tujhay dekh ker mein jiya karoon
Jahan koi teray siwa na ho, mein ussi faza mein raha karoon.

Rukhay mustafa woh kitaab hai, jo muhabatoon ka nisaab hai
Wohi meray paishay nazar rahay, yehi raat din mein parha karoon.

Teri yaad meri namaz hai, teri yaad gham ka woh saar hai
Tera shukar rehmatay do jahan, mein karoon to kaisay aada karoon.

Jo kabhi naseeb ho hazri, to milay naseeb ko yawareen
Teray sangay dar pay jhuka kay sir, mein namaz e ishq aada karoon.

Mujhay apna jalwa dikhaye ja, meray dil mein aakay simaye ja
Mein sharab e marafat e khuda, tera naam lekay piya karoon.

Teri yaad hee mera taj hai, teri yaad gham ka ilaaj hai
Meray dil mein tera hi raj hai, tujhay yaad subh o ***masa*** karoon.

Na’at Information

Artist: Milad Raza Qadri
Legend: ***masa*** (not sure about this word)


More Islamic Lyrics

  1. Haleema Main Tere Muqadran Tu Sadqe
  2. Madad Kijiye Ya Imam e Zamana
  3. Peace & Blessings
  4. Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya
  5. Ibn El-Watan
  6. Ramazan (Turkish – Türkçe Version)
  7. Wohi Sab Say Meeti Zubaan Hai
  8. Mangnay Ka Maza Hei Dar e Yaar Par
  9. Karam Mangta Hoon
  10. For the Rest of My Life
  11. We At War Baby
  12. Without You
  13. Nabi Ki Naat Ki Mehfil
  14. A’marona A’malona
  15. Most Merciful
  16. Ya Rabbee
  17. Firaq E Madinah Mein Dil Ghamzada Hai
  18. Smile
  19. I Promise
  20. Prayer to Allah
  21. Durood e Ibrahimi
  22. Aye Mere Asghar E Bezubaan
  23. Allahumma Salli ‘ala Muhammed
  24. Naseeba Khol Dae Mera
  25. Al-Hamdu Li’Llah

3 thoughts on “Tera Naam Virde Zubaan Rahay”

  1. Mujhe or meri family ko ye Naat behad pasand hai. main un sahib ko boht Mubarak bad paish karta hun jinhon ne apnay Takhiyyul or Ehsasaat ko Naat ki surat main duniya par Aashkara kiya. Zeeshan

    Reply

Leave a Comment