Ameer Bhi Hai, Ghareeb Bhi Lyrics
Ameer Hussain, Ghareeb Hussain,
Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai x2
Hussain mehboob e kibriya hai,
Hussain ghurbat ki intiha hai,
Hussain maqsood e karbala hai,
Hussain mazloom e karbala hai.
Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai x2
Ameer aisa kafan ki sogat jiskay rozay say bat rahi hai,
Garib aisa kay khood ko ab tak kafan muyasar nahin hua hai.
Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai,
Hussain Gareeb, Hussain,
Ameer aisa kay jiska jhoola Nabi jhoolaein Ali jhoolaein
Ghareeb aisa kay jiskay bachay kaban mein jhula bhi jal gaya hai.
Amir bhi hai Ghareeb bhi hai,
Hussain Gareeb, Hussain,
Ameer aisa kay ramsay parda gari chali hai usi kay dar say,
Ghareeb aisa kay Shaam o kufan mein uski hamseer bay rida hai.
Ameer bhi hai, Ghareeb bhi hai,
Hussain Gareeb, Hussain,
Ameer aisa Sakina jaisi Khuda nay baiti jisay aata ki,
Gharib aisa usi kay moun par *koi* tamachay laga raha hai.
Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai,
Hussain Gareeb, Hussain,
Ameer aisa kay jikay baba ki malkiyat mein hai Husay Kosar,
Ghareeb aisa kay teen din say, usi ko pani nahin mila hai.
Ameer bhi hai, Ghareeb bhi hai,
Hussain Gareeb, Hussain,
Ameer aisa kay jiska baita *sabi* hai sardar e ambiya hai,
Gareeb aisa kay wohi sinay mein *teer* khaye chupaye taraf raha hai.
Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai,
Hussain Gareeb, Hussain,
Ameer aisa kay Khuda ka deen jiskay dam say hai aaj tak salamat,
Ghareeb aisa kay ran mein gardan salamat nahin raha hai.
Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai,
Hussain Gareeb, Hussain,
Ameer aisa kay pathroon ko banaday Gohar wohi Takalum,
Ghareeb aisa kay pathroon mein, usi ka lasha chupa huwa hai.
Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai x2
Hussain mehboob e kibriya hai,
Hussain ghurbat ki intiha hai,
Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai,
Ameer Hussain, Ghareeb Hussain.
————————————–
*Word* – Are the words which were not clear when hearing & writting the lyrics. If you know the right word please leave them in our comment section and we will upgrade them. Thanks
Noha Information:
Noha Reciter: Mir Hasan Mir
Album: Mir Hasan Mir – 2009
Kalam: Janab Hussain Gohar, Janab Mir Takallum
YA ALI MADID
UR VOICE IS VERY VERY NICE MIR HASAN MIR.YOUR NOHAS ARE WONDERFUL.
MIR BHAI YOUR MANQABAT "ALI K SATH HAI ZAHRA KI SHAADI" IS GREATFUL
slm alkm meer bhai ur manqabats r very easy to learn sing i like the most allah aap ko taufiq ata gfarmaye
salam and YA ALI MADAD , Hassan bhai mujhy or mery husband ko aap ki awaz aap ka style
boht pasand hai aap ke Nohy phrney ke andaz aisa hai k hum dono apna wqt Mola k zikar
mai guzrta hai jis k lye hum aap k mashkoor hen.
MOLA aap ko khosh rkhy.(ameen)
plz snd m d lyrics of qataluka atashana
Brother Hassan .Asalamualilkum and Ya Ali Madad .Aap ki awaz bohat achi hai mula aur taseeer aata kare. .Ameen hum sab log aap kai nohay aur manqabat listen karte hai.. If u remember u came losangels. imam barghaBabulilm. we have a video of Eid ghgadir programe it was so good we never foget.wasalam . LAILASHAKIL.
nice Syed baba
salaam un alaikum MIR TAKALLUM sahab mashallah
hume Takallum sahab ke sab nauhe ke lyrics chahiiye
agar kisi ke pass hoga to hume mail kar dijiye
aapke sare MANQABAT k lyrics chahiye hai mujhe
(*sabi* hai ) is wrong and right word is (shabihe) means tsweer e muhammad (PBUH).
(*teer* khaye chupaye taraf) is wrong and right word is barchi khae tarap raha hai.
Gharib aisa usi kay moun par *koi* tamachay laga raha hai.
Instead of *koi* the word that belongs is la’een, meaning cursed
Asslamunalaikum
Ameer aisa ke jiske beta Shabih e Sardar e Ambiya hai
gharib aisa ke wohi seene me barchi khaye tadap raha hai
Ameer aisa Quda(jjl) ka dee(n) jiske dam se hai aaj tak salamat
gharib aisa ke ran me uska badan salamat nahi raha hai