Haqeeqat Mein Woh Lutf e Zindagi Lyrics
Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte
Jo yaad e Mustafa se dil ko behlaya nahin kartay.
Zaban per shikwae ranj o alam laya nahin karte
Nabi kay naam lewa gham say ghabraya nahin karte.
Yeh darbaar e Mohammad hai yahan apnoon ka kiya kehna
Yahaan se hath khali gheir bhi jaya nehi karte.
Are o na samaj qurbaan hoja Inke roze par
Yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehin karte.
Yeh he darbaar e Muhammed hai yahaan milta hei bemange
Are nadan yahaan daman ko phelaya nehi karte.
Madinay jo bhi jata hai, woh jholi bhar kay lata hai
Sakhi data hain khali haath lotaya nahin kertay.
Mohammad Mustafa key bagh key sabh phool aise hain
Jo bepani ke tar rehte hain murjaya nahi karte.
Nadamat sath le kar hashr mein ae aasio jana
Suna hei sharm waloon ko woh sharmaya nehi karte.
Jo unke damaan e rehmet say wabasta hai ae Hamid,
Kisi kay samnay woh haath phelaya nehi karte.
Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho,
Sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte.
Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
Woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte.
Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
Jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi karte.
Naat Information
Naat Khawan: Mohammad Mushtaq Qadri
Masha'Allah,
Bul bule bhag-e-Madina Al haj, Al kari Muhammad Mushtaq Attari (Alay Rehma) prestigious crown of Naat khawan's such a sweet & meladious voice ever heard.
jazak'Allah Hu Khaira.
Mashah Allah Kya naat hai. Ye naat & Lam yati nazeeron kafi- nazreen Ye dona naat mujhe bahut zyada pasand hai.
Shukriya Janab M. Mushtaq
what a nice ,and perfect voice ,god gifted voice. direct effect on hearts ,ALLAH IN PE AUR KARM KRE
mashallah, subhanallah
Muhammad Mushtaq Attar Qadri ki kia awaas he
Allah in ko bakshe! amin summ'amin
SUBHAN ALLAH…
AAMEEN
very nice naat
Lyrics of this Naat by Zulfiqar Ahmad Naqshbandi
Jo Yaad-e-Mustafa Se Dil Ko Behlaya Nahin Karte lyrics
Jo Yaad-e-Mustafa Se Dil Ko Behlaya Nahin Karte
Haqeeqat Mein wo Lutf-e-Zindagi Paya Nahin Karte
Zuban per Shikwa-e-Ranjo Alam Laya Nahin Karte
Nabi Ke Naam Lewa Gham Se Ghabraya Nahin Karte
Are o Na Samajh Qurban Hoja Un Ki Izzat Per
Ye Lamhe Zindagi Mein Bar Bar Aaya Nahin Karte
Ye He Darbaar-e-Aqdas Yahan Apno Ka Kya Kehna
Yahan Se Hath Khali Ghair Bhi Jaya Nahin Karte
Ye Darbaar-e-Mohammad He Yahan Milta He Bin Mange
Are Nadaan Yahan Daman Ko Phelaya Nahin Karte
Mohammad Arsh Per Pohnche To Khud Khaliq Ne Farmaya
Ye Apna Ghar He Apne Ghar Mein Sharmaya Nahin Karte
Gunah Gaaron Ko Hum Bakhshain Ge Tum Se Wada Karte Hein
Mohammad Hum Kabhi Jhooti Qasam Khaya Nahin Karte
Jo Yaad-e-Mustafa Se Dil Ko Behlaya Nahin Karte
Haqeeqat Mein wo Lutf-e-Zindagi Paya Nahin Karte
Subhan Allah bht pyari naaat hai . Sunke neki ki taraf chalne ka dil hota hai
Mashaallah ye naat ne muze sunnat pe amal karna sikhaya
;;
Wah wah beautiful
Subhan Allah
Masha Allah
Bahut Pyara Kalam Likha Hai Maulana Abdul Hamid Sahab Budauni Rehmatullah e Alaihe Ne
Mashallah very beautiful naat
Subhanallah. Eeman taza ho jata he.
Subhanallah. Eeman taza ho jata he, Jab bhi ye Naat shareef sunte hain.