Ajab Rang Par Hai Bahare Madina

By: 

Ajab Rang Par Hai Bahare Madina Lyrics

Ajab Rang Par Hain Bahaar E Madina
Ke Sab Jannatein Hain Nisaar E Madina

Sarkaar Ka Madina Sarkaar Ka Madina
Sarkaar Ka Madina Sarkaar Ka Madina

Khula Hain Sabhi Ke Liye Baab E Rehmat
Wahan Koi Rutbe Mein Adna Na Aali
Muraadon Se Daaman Nahi Koi Khaali
Qitare Lagaye Khade Hai Suwaali

Main Pehle Pehel Jab Madine Gaya Tha
To Thi Dil Ki Haalat Tadap Jaane Wali
Wo Darbaar Sach Much Mere Saamne Tha
Abhi Tak Tasavvur Tha Jiska Khayali

Main Ek Haath Se Dil Sambhale Hue Tha
To Thi Dusre Haath Me Thi Unki Jaali
Dua Ke Liye Haath Uthte To Kaise
Na Ye Haath Khaali Na Wo Haath Khaali

Madina Madina Humara Madina
Hume Jaan O Dil Se Hai Pyara Madina
Suhana Suhana Dilara Madina
Har Aashiq Ki Aankhon Ka Taara Madina

Pahado Pe Bhi Husn, Kaante Bhi Dilkush
Hain Qudrat Ne Kaise Sawaara(n) Madina
Khuda Gar Qayamat Mein Farmaye Maango
Lagayenge Deewane Naara Madina

Rage Ghul Ki Jab Naazuki Dekhta Hu
Mujhe Yaad Aate Hain Khaar E Madina
Mubarak Rahe Andalibo Tumhe Gull
Hume Gull Se Behtar Hain Kahaar E Madina

Rahe Unke Jalwe Base Unke Jalwe
Mera Dil Bane Yaadgaar E Madina
Murad E Dil Bul Bule Be Nawade
Khudaya Dikha De Bahaar E Madina


More Islamic Lyrics

  1. Bheeni Suhani Subhu Mein Thankdak Jigar Ki Hai
  2. Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye
  3. That Moment He Smiled
  4. Insha Allah (Turkish Version – İnşallah)
  5. Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar
  6. Salatullah
  7. Let Me Breathe
  8. Oh Lord
  9. Fikr E Iqbal
  10. Khair Karam Wala
  11. Your Mother Lyrics Rashid Bhikha
  12. Hum Apne Nabi Ke Deewane
  13. One God
  14. Tumhare Sajde Ko Kaba Salam Kehta Hai
  15. Hoon Mein Nadim Gunahoon Par Ya Rab
  16. Ooj Pana Mere Huzoor Ka Hai
  17. Endless Bounty
  18. Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaanay Waalay
  19. Subha Taiba Mein Hui
  20. Iltija Hai Iltija
  21. Change My Dead Heart
  22. Ammu Jannam
  23. Hijab
  24. Maula Ya Salli Wa Sallim
  25. Zindagi Ka Bharosa Nahin

4 thoughts on “Ajab Rang Par Hai Bahare Madina”

  1. After listening this Naat-e-Mubarakah from Ashiqe Rasool AlHaj Owes Raza Qadri Sb it becomes my most favoirite Kalam.

    Reply
  2. I was searching the lyric of this Kalam & Alhamdulillah I found it on your page so I am really thankfull of you Sir.

    May Allah Bless You!
    Jazakallahu Khaira.

    Reply

Leave a Comment