Ya Ali Ya Hussain

By: 

Ya Ali Ya Hussain Lyrics

Ya Ali Ya Hussein

Allah x3

Allah hee Allah x4
Tu hee Tu Allah,
Allah Tu hee Tu Allah x2

Jo Mohammad ka wafadar hai, Allah uska,
Karbala uski, Najaf uska, Madina uska,
Zindagi hai to bus Ali ki tarha,
Maut aye to Ya Hussain, Hussain!

Ya hussain x6
Ya Ali, Ya Hussain x4


Awaaz e Muhammad ka asar khatam na hoga x2
Thak jayega suraj yeh safar khatam na hoga.

Ya Ali, Ya Hussain x3

La raib pay Rasool ki dono hain zebo zen
Pehlu mein Ya Ali hai, to godi mein Ya Hussain
Godi mein Ya Hussain!
Loho qalam ka ilm ka sadiq hai Ya Ali
Jab tak Khuda ka mulk hai malik hai Ya Hussain
Malik hai Ya Hussain!
Yeh ilm ka dar sabr ka ghar khatam na hoga.

Thak jayega suraj yeh safar khatam na hoga x2

Ye saltanat e ishq hai khuddar milengay
Salmano Abuzar say wafaadar milenge
Wafaadar milenge!
Qasim yahan Mesum say jigar taar milenge
Jinay kay liye marnay pay tayyar milengay
Tayyar milengay!
Kat jaye zaban ishq magar khatam na hoga

Thak jaayega suraj ye safar khatam na hoga x2

Muslim bin e Aqeel safeer e Hussain hai
Hub e Ali hai dil mein masheer e Hussain hai
Masheer e Hussain hai!
Woh badshah aur yeh wazeer e Hussain hai
Aisa wazeer hai kay faqeer e Hussain hai
Faqeer e Hussain hai!
Ta hashr sifarat ka safar khatam na hoga.

Thak jaayega suraj yeh safar khatam na hoga
Ya Ali, Ya Hussain x3

Hur ko sakhi Hussain nay aali bana diya
Aisa ke panjatan ka sawaali bana diya
Sawaali bana diya!
Nad e Ali nay isko jalali bana diya
Rumal e Fatima nay misali bana diya
Misali bana diya!
Yeh dar hai ata’aon ka yeh dar khatam na hoga.

Thak jaayega suraj ye safar khatam na hoga x2

Aie meray Rabb e Jahaan
Aie Muhammad kay Khuda
Yeh Tera ishq hee tha
Jis ki parwaaz juda
Yeh Tera ishq hee tha x2
Panjatan say jo mila
Ishq ka tere e safar
Ishq Haidar mein mila
Kabhi Mesum, Kabhi Miqdad o Abuzar main mila
Kabhi Salman kay dil mein, kabhi Qambar me mila
Aur maqtal main jo dekha to bahattar mein mila
Laike ishq he Tu, Tera jalwa har su x2

Ay mere Rab e jahaan
Ay Mohammad ke Khuda
Ishq tunay bhi diya
Aur Muhammad Tera
Jiski chahat kay liye
Yeh jahaan khalq kiya
Woh tera ishq hi tha x3

Aie meray Rabb e jahan x2
Ik ajab ishq huwa
Woh sare karbobala
Tera aashiq hai khara
Khoon mein duba huwa
Day chuka lakhtay jigar
Day chukka noor e nazar
De chukka sara woh ghar
Aur khanjar ke talay
Uska sajday mein hay sir
Na namazi aisi, na ashiq ka kaleja aisa
Noke neza pe bhi karta hee raha zikr Tera

Ya Ali, Ya Hussain x3

Eik zulfiqaar khalq main do haath say chali
Dast e Hussain o panjae mushkil kusha Ali
Yeh Mustafa ki jaan woh Allah ka wali
Dono ka martaba bhi do alam pe he jail
Dono ka is kamaal se sajda ada huwa
Haider se ibteda huwi ya khatima huwa

Ya Ali, Ya Hussain x3

Hai waqt e asr marziye parwardigar hai
Aab pushte zuljana pe maula sawaar hai
Pehlu mein khun roti huwi zulfiqaar hai
Hum rah zuljanah bhi bohot dil figaar he
Qurban zuljanah pe aur zulfiqar par
Chalte thay dono marziye parwardigar par

Ya Ali, Ya Hussain x3

Jaisi woh zulfiqaar thi waisa tha zuljanah
Bachpan say saath saath hee rehta tha zuljanah
Bay misl o bay nazir tha aala tha zuljanah
Kyun kar na ho Rasool nay pala tha zuljanah
Pehla sawaar to nabiye kirdigaar hai
Aur doosra ye doshe nabi ka sawaar hai

Ya Ali, Ya Hussain x3

Jite thi jab bhi sheyr chitwan hiran ki aankh
Chalta tha dekh dekh ke shahe zaman ki aankh
Parti thi yun harif pe us sab shikan ki aankh
Larzi ho jese halq me shamshir zan ki aankh
Teghaayi jispe urh kabhi baar urhte chalgaya
Wo sar gira gayi to ye lasha uchalgaya

Ya Ali, Ya Hussain x2

Kehta tha zulfiqaar se ab meri jang dekh
Chal tere saath saath zara mera rang dekh
Is kaas mei laraayi ka mera bhi dhang dekh
Raah-e-hayaat fitron pe karta hoon tang dekh
Mana tu zulfiqaar hai marhab shikaar hai
Leykin ye dekh kon ye mujhpar sawaar hai

Ya Ali, Ya Hussain x3

Simta jamaa urha idhar aya udhar gaya
Chamka phira Jamaal dikhaya tha har gaya
Teeron pe urh ke barchiyon mei bekhatar gaya
Bar haq kiya sabon ko saron par guzar gaya
Aya jo zad mei iski ajal aagayi usse
Is saath koi zarb zameen kha gayi usse

Ya Ali, Ya Hussain x3

Allah re laraayi mei shokat hussain ki
Heete wo zuljanah mei sur’at hussain ki
Qudrat baghor zad ki thi surat Hussain ki
Chehre udaas Sakina hai haybat Hussain ki
(Bole Ali Hussain) x2 ho ab bhi hawaas mei
Aisi to jang ham na lare mulk-o-yaas mei

Hussain Ya Hussain x3

Ayi sada-e-ghayb ke bas bas Hussain bas
Dam le hawaa mei eik nafas bas Hussain bas
Garmi se haanfta hai faras bas Hussain bas
Waqt-e-namaaz asr hai bas bas Hussain bas

Hussain Ya Hussain x3

Ye sunte the hazrat jo laga pusht pe dhara
Qarboos pe tharra ke gire hazrat-e-waala
Jibreel ne qadmon se rikaabat ko nikala
Aur haathon ko garden mei yadullah ne daala
Dekha jo zuljanah ne ghash khate zeen par
Bas beyth gaya dekh ke ghutnon ko zameen par
Quran rehl-e-zeen se sar-e-farsh gir para
Dewaar-e-kaba beyth gayi arsh gir para

Hussain Ya Hussain x3

Chillayi fatemah mera bacha hai be gunaah
Ay arz-e-nainawah mera bacha hai be gunaah
Ay nehr-e-alqamah mera bacha hai be gunaah
Ay zulfiqaar tu hi bachaale hussain ko
Ay zuljanah tujhse mei luti hussain ko

Hussain Ya Hussain x3

Duba lahu mei lot ke aaya hai zuljanaah
Samjhi Sakina baba ko laaya hai zuljanah
Sar khaak per patak kar gira wo rahwaar
Sayyedaniyon bichar gaya mujhse mera sawaar
Jaldi utaarlo ye tabarruk ye zulfiqaar
Are kat’ta hai waa gulu-e-shahenshaah-e-naamdaar
Zahra qareeb-e-laash-e-pisar khaak urhaati hai
Are khaymon mei jaawo, lutne ko foj aati hai

Hussain Ya Hussain

Noha Reciter: Nadeem Sarwar
Album: Nadeem Sarwar – 2009


More Islamic Lyrics

  1. Rabbee Yebarik
  2. Mast Qalandar
  3. Sayadi Sayadi Mustafa Mustafa
  4. What You’ve Become (Feat. Sami Yusuf)
  5. Sarkar e Dono Aalam Nazar e Karam Ho Jaana
  6. Un Ki Mehak Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye Hain
  7. Thula Sizwe
  8. An Nabi Sallu Alai [Part 2-2]
  9. Salaam
  10. Kam Tashtaki
  11. ‘Araftul Hawa
  12. Pearl
  13. I’m In Love
  14. My Only Wish (interlude)
  15. Naat by Hazrat Umar ibn Al-Khattab “Al-Faruq” (R.A.)
  16. Baraye Dil e Dukhtar
  17. Kiya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti
  18. Tajdar e Haram
  19. Sachi Baat Sikhatay Ye Hain
  20. The Key
  21. Jab Aaye Jahan Main Muhammad
  22. Happiness
  23. Kamli Wale Deh Darbar Di Gal
  24. Oh Lord
  25. Jalwa e Jaana

48 thoughts on “Ya Ali Ya Hussain”

    • Jozan Hussain a.s is the Son of Ali a.s. we(shia asna ashari)follow the Ali a.s and Hussain a.s. they are the most loving personalities of the God and its our belief that God had created this world just for them.

      Reply
      • my dear friend no doubt in that….that imam ali and imam hussain r the most love able personality of Allah al mighty…..but i dont agree with your second sentence that Allah azawajal made this world for them…thats not true….khair ALLah aapko hidiyat de

        Reply
  1. Laraib key Rasool ki dono hain zebo zen

    Pehlu mein Ya Ali hai, to godi mein Ya Hussain

    (Laraib yani jisme koi aib na ho, us Rasool ki dono shaan hai)

    Qasim yahan Mesum say jigardaar milenge

    (Jigardaar yani Brave)

    Ay Mohammad ke Khuda Ishq tunay bhi kiya

    Wo Muhammad Tera

    Jiski chahat kay liye

    Yeh jahaan khalq kiya

    Woh tera ishq hi tha

    Cheete si jad thi Sher si Chitwan Hiran si aankh

    Chalta tha dekh dekh ke shahe zaman ki aankh

    Parti thi yun harif pe us sab shikan ki aankh

    Larti ho jese jang me shamshir zan ki aankh

    Tegh aayi jispe uska bhi waar uspe chal gaya

    Wo sar gira gayi to ye lasha Kuchal gaya

    (Cheete jaisi tez raftaar thi, Sher jaisi chamakti jild thi aur hiran jaisi aankh thi….

    Mir Anees is marsiye mai Zuljanah ko describe kar rahe hai…

    Wo keh rahe hai ki..

    Tegh aayi jispe uska bhi waar uspe chal gaya

    Wo sar gira gayi to ye lasha Kuchal gaya

    yani jiska sir zulfeqar kalam karti thi uska lasha zuljanah kuchal jata tha…

    yani zulfeqaar ke saath saath zuljanah ki jang ka taskira hai…

    mere bhai zara alfazon ka qayal rakhe kyuki ye khkali nauha nahi poori karbala ki jang ka bayan aur masayab hai…)

    Kehta tha zulfiqaar se ab meri jang dekh

    Chal mere saath saath zara mera rang dekh

    Is ghat mei laraayi ka mera bhi dhang dekh

    Raah-e-hayaat Kitnon pe karta hoon tang dekh

    Mana tu Zulfiqaar hai marhab shikaar hai

    Leykin ye dekh kon ye mujhpar sawaar hai

    (ye zuljanah ki zaban hai.. ki wo zulfeqar se kehraha hai ki is ghat yani maidan mai mai kitnno ki rahe hayat yani lilfe khatam karta hu ye dekh….)

    Simta jamaa urha idhar aya udhar gaya

    Chamka phira Jamaal dikhaya thahar gaya

    Teeron pe urh ke barchiyon mei bekhatar gaya

    Bar haq kiya sabon ko saron se guzar gaya

    Aaya jo zad mei iski ajal aa gayi usse

    Ek Taap pari uspe zameen kha gayi usse

    (ek taap pari yani kick of horse, yani Imam Hussain a.s. Zulfeqar se jang kar rahe the aur zuljanah apni taapon se dushmano ko wasile jahannum kar raha tha..)

    Allah re laraayi mei shokat hussain ki

    peeche wo zuljanah mei sur’at hussain ki

    Qudrat baghor takti thi surat Hussain ki

    Kehr-e-KHUDA se kam na thi haybat Hussain ki

    (Bole Ali Hussain) x2 ho ab bhi hawaas mei

    Aisi to jang ham na lare Bhook-o-Pyaas mei

    (Imam Hussain a.s. ne aisi jang ki ke fauje bhaag rahe thi, logon ko Kehr-e-KHUDA nazar aa gaya tha Imam Ali a.s. bhi Bete ki jang par naaj kar rahe the 3 din se zayada ki Bhook aur Pyas mai Imam Hussain ne aisi jang ki ke Karbala mai Qyamat aa gayi thi, Jab Imam Ali ne marhab ko maara tha tab zulfeqar ka war rokne ke liye Jibraeel ko apna par bishana pada… Karbala mai Imam Hussain a.s. ki jang ne wo Qayamat barpa kar di thi ki zulfeqar ko rokne ke liye khud KHUDA ko aawaz deni pari ki..

    "MERE NA'FS-E-MUTMAEEN PALAT AA APNE RAB KI TARAF,

    HUM TERI JANG KE JAUHAR DEKH CHUKE, AB APNE SABR KE JAUHAR DIKHKA DE…..haye aaqa Hussain a.s. aap par hum nisaar)

    Ayi sada-e-ghayb ke bas bas Hussain bas

    Dam le hawaa mei eik nafas bas Hussain bas

    Garmi se haanfta hai faras par Hussain bas

    Waqt-e-namaaz asr hai bas bas Hussain bas

    (paras yani zuljanah ki pusht)

    Ye sunte the hazrat jo laga pusht pe bhala

    Qarboos pe tharra ke gire hazrat-e-waala

    Jibreel ne qadmon se rakaabon ko nikala

    Aur haathon ko garden mei Yad-ullah ne daala

    Dekha jo zuljanah ne ghash khate zeen par

    Bas beyth gaya teik ke qadmoon ko zameen par

    Quran rehl-e-zeen se sar-e-farsh gir para

    Dewaar-e-kaba beyth gayi arsh gir para

    (Jibreel ne qadmon se rakaabon ko nikala,

    rakaab yani jismai pair dalte hai zuljanah par baithte waqt..)

    Maine apni kam-ilmi se jo mujhe galtiyan lagi, unko kuch hadd tak sahi kiya hai aur explain kiya hai, taki jo bachche ye nauha copy karte hai wo sahi lafz aur sahi meaning samajh kar pade…. ye sirf ek nauha nahi hai balki Masayabe Imam Hussaiin a.s. hai)

    Hussain a.s. ke qatilon par Lanat beshumaar…

    Reply
  2. aslam o alaikam behn fizza
    m really glad to read the good translation u wrote above

    actually some people like me dont have good knowledge but like this nooha
    but ur translation really help me 2 understand it

    god bless u

    Reply
  3. @Jazon
    u dont know hussain (a.s)
    sad!!!
    The saviour of Islam is HUssain(a.s).
    Hey can any1 plz post (Saara jahan Hussain Hussain kare) plz

    Reply
  4. cheete ji JAST sher ki chitwaran Hiran ki aankh dat meanz
    cheete ki chaal thi.. sher jesa andaz tha anur hiran jesi aankh thi… PLZ BHAI CORRECT UR TRANSLATION

    Reply
  5. cheetey ki JAST …sher ki CHITWAN…HIRAN KI AANKH…
    sorry sister lemme correct you it means…. cheete ki jast (cheetey jesi chaal ) …sher ki chitwan ( sher ka andaz) HIran ki aankh….
    JAST ka mastlab andaz (attitude) hota hai not Jild /chamkti jild…

    Reply
  6. Jis nay Ye Lyrics upload ki hain Aur Janab Nadeem Sarwar sahab ko Mera Salaaaam Aur Moulla Ap ki Har Hajaat ko Jaldh Pura Karay Aur Ziyarat-e-Imam Hussain ka Sharf Hassil Ho Ap ko jaldh

    Reply
  7. nadeem bhai may y noha sunta tha per kafi lafz samajh nahi aty thy par rona tab bhi ata tha per agg meny y ilfaz padhy to yaqeen karen may app ko bata nahi sakta k may is waqt kia mahsoos kar raha hon ALLAH ap ko or ap say gody sary logon ko khosh rakhy aameen

    Reply
  8. Dear brother / Sister

    Assalaam Walekum

    I am sorry to inform you that there are lots of mistakes in above given lyrics. request you to please do the needful corrections accordingly.
    If any one copy this lyrics and recite’s in public it can be very insulting moment for the person.
    Hope you will never mind.

    Thanking you

    Regards
    Syed Baqar Imam Rizvi

    Reply
    • WalaikumAssalm brother, Could you please correct the mistake and paste in comment so other can find solution, thank you in advance

      Reply
  9. Wow NADIM SARWAR……..u r the best singer in the wlole world. your voice is like a cuckoo. u r my fevourate nohay singer. Hence at last i would like to tell u r the main part of the ‘ISLAM’………….

    Reply
  10. My Best noha Nadeem Bahi meri zingi ki kuwhis hi ap say Milne ki agar ap ko ye msg mil Jay tu plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz reply me ya contact me [Hiddedn By Admin] plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz

    Reply
  11. Assalaam Walekum

    There are a lot of mistakes in lyrics.I request everyone to please do not recite it until you get the correct lyrics

    Reply

Leave a Comment