Bahar e Jaan Fiza Tum Ho Lyrics
Main Bhoola Aapki (S.A.W) Rif’at Se Nisbat hi Hamain Kya Hai
Woh Kehne bhar ki Nisbat Thi Kahan Hum Hain Kahan Tum (S.A.W) Ho.
Humain Umeed hai Roz e Qiyamat Unki (S.A.W) Rehmat Say
Ke Farma’ain Idhar Aao na Mayoos az Jina Tum Ho.
Sitam Karo siyah karo Khata karo jafa karo
Humaray (S.A.W) Daman e Rehmat mein Aajao kahan Tum Ho.
Tumharay (S.A.W) hotay satay dardo dukh Kise kahoon Pyare
Shafee ay aasiyan Tum (S.A.W) Ho Wakeele mujriman Tum (S.A.W) Ho.
Riyazat ke yehi din hain budhapay mein kahan himmat
Jo kuch karna hai abhi karlo abhi Noori jawan Tum Ho.
Faqat Nisbat Ka, Jaisay hoon Haqeeqi Noori ho jaaoon
Ke Mujhe jo dekhe keh uthay Miyan Noori Miyan Tum Ho.
Naat Information:
Naat Khawan: Alhaaj Muhammad Owais Raza Qadri
Written By: Hazrat Imam Mustafa Raza Khan Noori (Rehmatullah Alayh), the Son of AlaHazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi (Rehmatullah Alayh)
Other Part: Part 1 of this Naat can be found at Bahar e Jaan Fiza Tum Ho [Part 1-2]
This naat is awasome, speechless excellent written and Owais Qadri's voice are also outstanding in these words.
Mashaallah…Akhir oolad kis ke han Mera AQA wa Mola Aalahzrat ke….Har Ishaar sy ishq ka darya phot ta hy
Faqat Nisbat Ka, Jaisay hoon Haqeeqi Noori ho jaaoon
Ke Mujhe jo dekhe keh uthay Miyan Noori Miyan Tum Ho…………………Mera Aaqa Chota moon or Baree baat kash apka dedar ho jay or mere kismat jag jay….apko deka to nahee magar By shakh Miyan Noori Miyan Tum Ho……Kamran Ali Ghanchi
Karam Talha pe ho AAQA na jaun Chor kar TAIBA..,
tumhen Mushkil hi kia he Taajdaar e DO JAHAAN Tun ho ..
(sallallaho alaihi wasallam)
Ab to madina lo bula gumbad e sabz do dekha
HAMID O MUSTAFA tere hind mein haein ghulam do
Ab to madina lo bula gumbad e sabz do dekha
HAMID O MUSTAFA tere hind mein haein ghulam do
Allah hmein inky sadqy sacha ishq e nabi ata kry