Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar

By: 

Bulalo Phir Mujhay Ae Shah e Behrobar Lyrics

Meray ansoo bohat kimati hain,
Insay wabasta hai, unki yaadein,
Inki manzil hai khak e Madina,
Yeh gohar yoonhi kaisay luta doon.

Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main
Main phir rota huwa aaoon, teray dar par Madinay mein.

Mein pohunchoon koey jana mein, ghareeban chak seena chak
Gira day kash mujhko showk tarpa kar Madinay mein.

Mein unka deewana, Madinay mein bari shaan gaya
Chak dil, chak jigar, Chak ghareeban gaya.

Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman’illah
Kabi toh apna bhi lag jaey ga bistar Madinay main.

Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro kar
Tumhe aae nazar jab roza e anwar Madinay mein.

Zahe muqaddar huzur-e-haq say salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya.
Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya.
Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir hain lekin na subah aaya na sham aaya.

Payame showk letay jao mera kafilay walo
Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main.

Paye tableegay sunnat Tu jahan rakay maghar aae kash
Main khawaboon mein puhanchta hee rahoon aqsar Madinay mein.

Madina is liye Attar jaan-o-dil say hai pyara
Key rehtay hain meray Aaqa, meray dil bar Madinay main.

Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey
Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main.

Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba sey
Sukoon aey’ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main.

Wahan ik saas miljaye yehi hai zeest ka haasil
Vo kismet ka dhani hao jo gaya dam bhar Madiney mein.

Chalo chaukat pe unki rak ke sar qurbaan ho jaye
Hayat e jaan vidaani paayengey mar kar Madiney mein.

Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara
Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main.

Naat/Dua Information:
Recited By: Alhaaj Muhammad Owais Raza Qadri
Written By: Ameer Ahle Sunnat Moulana Ilyas Attar Qadri


More Islamic Lyrics

  1. Afreen Afreen
  2. Inquilab Inquilab
  3. Jashn e Millad
  4. Ramadan Is Here
  5. Iman Ramzan
  6. Let Me Breathe
  7. Tajdaar-e-Haram (Salaam)
  8. Forgotten Promises
  9. Salutation
  10. Durood Shareef
  11. I’m Your Hope
  12. The Lord of the Worlds
  13. True Love
  14. Tumhare Sajde Ko Kaba Salam Kehta Hai
  15. Believe (Acoustic Version)
  16. Who is the Loved One?
  17. Baraka Allahu Lakuma
  18. Kya Mahekte Hain Mahekne Wale
  19. Salat al-Badriyya
  20. Lagian Ne Mojan
  21. Healed
  22. No One Knows But Me
  23. Amma Nee Amma
  24. Du’a
  25. Ya Muhawwin

71 thoughts on “Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar”

  1. Assalam-u-Alykum,

    I love naat-e-paak

    Allah ka rehm-o-karm ho aap par or aapki puri crew member par,

    Allah is razaor raza ke khandan par rehm kare or hame piro k naksh-e-kadam par chalne ki taufiq ataa farmaye.

    elahi ameen.

    Thnkx

    Reply
  2. ASSALAAM MASHALLAH I JST LOVE DESE NAATS ALLAH HAME HAMESHA AAKAA KA DEEWANA BANAYE RAKHE<AUR HUM YUNHI NAATE PAK SUNE AUR SUNATE JAAYE,,, AAMEEN

    Reply
  3. Your naats are so brilliant and so is this one it makes people cry thats how much people love it thank you so much mashallah subhanallah.

    Reply
  4. maasha allah aap pe qurbaan jao mere aaqa (saw)… bulalo phir mujhe bhi madeene mein… ham sab ke dilao me aashiqe rasool ka jazbah or buland ho

    Reply
  5. Mashaallah, a very good naat written by (ameer e ahle sunnat ) my peero murshid..Allah aap jaise nekh logo ke sadkay mein hamein bhi nekh bannaye.(Aameen)

    Reply
  6. mashaallah verry good nath verry beautiful nath as well and thank you for putting the nath on in english and please be doing that with other naths thak u so much xxxxx

    Reply
  7. Rily rily rily like your lyrics N such A beautiful nAaat…….like yA uncle aliyaSS …..keep iT uP…..rily apriciating…..such i want 2 byet on your hand….like yA

    Reply
  8. SUBHANALLAH this just shows how they are true lovers of RASOOLALLAH (SAW). May ALLAH (SWT) give them the taufeeq to carry on to do so :D

    Ya RASOOLALLAH, call us one day INSHALLAH to your blessed city, so we can see the beautiful pyara Taybah Shareef AMEEN <3 <3 <3

    Reply
  9. SubnAllah MashAllah Kya Bth Hai Mere Bapa Nay Kya Khub Kalam Lika Hai Meri Bi Ye Khuwish hai K Bulalo Phr Muje Shah e behrobar Madina Mai..

    Reply
  10. MashAllah…..heart touching naath..i love rasoolallah..hamari pyari nabi please cal us to see madina..bhulalo hum ghareebonko bhulalo ya rasoolallahhhhhh…..

    Reply

Leave a Comment