Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics - Owais Raza Qadri

By: 

Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Yahi baat hum nay barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Gunahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Gunahoon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai

Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,

Madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai.

Nasheed Information:

Singer: Owais Raza Qadri


More Islamic Lyrics

  1. Healing Lyrics - Sami Yusuf
  2. Your Beauty Lyrics - Tom Robertson
  3. One God Lyrics - Zain Bhikha
  4. Shafa’a – ????? Lyrics - Jabar Abdollah
  5. The Song of Rebellion Lyrics - Gaith Adhami
  6. Dil Say Hazar Bar Madina Tujhay Salam Lyrics - Owais Raza Qadri
  7. Karam Mangta Hoon Lyrics - Owais Raza Qadri
  8. Allah is Calling You Lyrics - Labbayk
  9. Endless Bounty Lyrics - Noor
  10. Ashqi Mn – ?????? ?? Lyrics - Jabar Abdollah
  11. You Came To Me Lyrics - Sami Yusuf
  12. Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan Lyrics - Hashim Sisters
  13. Balaghal Ula Bekamaalaihi Lyrics - Syed Fasihuddin Soharwardi
  14. Every Beat Lyrics (Arabic & French) Lyrics - Aashiq al-Rasul
  15. Dryer Land Lyrics - Sami Yusuf
  16. Jaaneh Jaanaan Lyrics - Sami Yusuf
  17. Maqsad e Aalam e Hayaat e Nabi Lyrics - Naat Lyrics
  18. Sagri Rain Tarapty Guzri Lyrics - Milad Raza Qadri
  19. Rahman Ramazan Lyrics - Aamir Liaquat
  20. Mitho Naalo Muhammad Jo Lyrics - Farhan Ali Qadri
  21. Muhammad Nabina Lyrics - Hamada Helal
  22. Tu Shah e Khubaan Tu Jaan e Janaan Lyrics - Milad Raza Qadri
  23. Gunaahon Ki Aadat Chura Mere Mola Lyrics - Owais Raza Qadri
  24. No One Knows But Me Lyrics - Raef
  25. Aa Palat Aa Aye Hussain (A.S) Lyrics - Irfan Hussain

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

21 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
21
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x