Firaq E Madinah Mein Dil Ghamzada Hai

By: 

Firaq-e-Madinah Mein Dil Ghamzada Hai Lyrics


Firaaq-e-madinah mein dil ghamzada hai,
Jigar tukray tukray hua ja raha hai.

Chura kar madinah mera chain cheena,
Bata nafs-e-zalim tujhe kia mila hai.

Meri aankh se cheena taiba ka manzar,
Yeh kis baat ka tu ne badla lia hai.

Sikhaya hai phir yeh muqaddar ne mujh ko,
Na shikwa kisi se na koi gila hai.

Rahoon bus isi ghum mein bay chain sarwar,
Muqaddar ne jo daagh-e-furqat dia hai.

Muqaddar se jis ja rahoon per shaha ho,
Nazar mein madinah meri iltija hai.

Mere dil kay armaan rahe dil hi dil mein,
Yehi ghum mere dil ko tarpa raha hai.

Sukoon tha mujhe koocha-e-mustafa mein,
Watan mein mera sub sukoon lut gaya hai.

Na dunya ki fikrain na ghum tha wahan per,
Yahan aa kar dil aafaton mein phansa hai.

Na chootay mere haath se un ka daaman,
Jiyun jab talak ya khuda yeh dua hai.

Mein lafzon mein kaise bata doon kisi ko,
Kay kia kia mujhe aaj yaad aa raha hai.

Paharon ki dilkash sitaron kay jalway,
Woh manzar mujhe aaj yaad aa raha hai.

Unhe choomna haath lehra kay paiham,
Woh lamha mujhe aaj yaad aa raha hai.

Aqeedat se khaak-e-madinah utha kar,
Use choomna aaj yaad aa raha hai.

Kabhi deed-e-sarwar ki hasrat mein minbar,
Ko takna woh chup chup kay yaad aa raha hai.

Haseeno jamil piyaari woh jannat ki kiyari,
Wahan baithna aaj yaad aa raha hai.

Kabhi dekh kar subz gumbad ka manzar,
Jhukana nazar aaj yaad aa raha hai.

Urdu Naat Information:
Sana Khuwaan: Owais Raza Qadri
Kalaam By: Obaid-E-Raza


More Islamic Lyrics

  1. Ya Maula Ali (AS)
  2. Mar Kay Apni Hee
  3. Raastein Saaf Batatay Hain
  4. Ya Hanah
  5. Neredesin (Turkish Version)
  6. Koay Nabi Se Aa Na Sake Hum
  7. Qissat Al’Oshaq
  8. Freedom Ain’t Free (feat. Nano Omar)
  9. Balaghal Ula Bekamaalaihi
  10. Lut Kay Aayi Hoon Mein Nana Jaan
  11. Shukar Hai Tera Khudaya
  12. Give The Young A Chance
  13. A Piece of Land
  14. Ramzan Hai Allah Ki Qurbat Ka Mahina
  15. Ellahi
  16. Mere Ghazi Kahaan Ho
  17. Ca C’est La Vie
  18. Naat by Hazrat Abu Bakr “Al-Siddiq” (R.A.)
  19. Our Creation
  20. Dryer Land
  21. That Moment He Smiled
  22. Ya Zal Jalali Wal Ikram
  23. Wah Kiya Joodo Karam
  24. Call On Him
  25. Salam Alaikum

5 thoughts on “Firaq E Madinah Mein Dil Ghamzada Hai”

  1. سبحان اللہ عزوجل بہت خوب

    اللہ پاک آپکو اسکا اجرِ عظیم عطا کرے… آمین یا رب العالمین

    Reply

Leave a Comment